gaye waqt ko phir se bulana chahta hoon

main pichhli zindagi mein laut jana chahta hoon,
haan gaye waqt ko phir se bulana chahta hoon.

nigahein pher li tumne apni shaadi ke baad,
aur ab to main bhi tumhein bhool jana chahta hoon.

mujhe kya garaz ke gair ho gayi ho tum,
main tumhein aaj bhi pehle hi jitna chahta hoon.

bada malal hai tumhein khone ka khuda ki kasam,
sach puchho to main tumhein ab bhi paana chahta hoon.

bahut sata rahi hai zindagi mujhe tere bina,
aa paas aa teri banhon mein marna chahta hoon.

na karne de mujhe aaraam teri yaad kahin,
main iss duniya se bahut door jana chahta hoon.

kayi din, kayi raaton se main soya nahi hoon,
ab teri gaud mein ser rakh ke sona chahta hoon.

hasrat -o- armaan sab dil ke mitana chahta hoon,
lipat ker tujhse main jee bhar ke rona chahta hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts