jisko bhi chaha wahi cheej na paayi humne

har jagah se teri pehchan hatayi humne,
be-sabab ghar ki har ek cheej sajayi humne.

jaan le leti teri yaad yakinan ek din,
yoon bhula ke tujhe yeh jaan bachayi humne .

humne ki thi kabhi jinki salamati ki dua,
umra bhar unke liye di hai duhayi humne.

jis taraf se bhi hua sikwa apni nazron se,
phir kabhi uss taraf na aankh uthayi humne.

bas burayi hi mili hai uski aur se,
jiske bhi saath ki hai bhalayi humne

teri firak mein kyu bhatke yeh ab sochte hain,
keemati zindagi kyun aise ganwayi humne.

bekarari mein jo likhe the kabhi tere liye,
unhin kahton ko aaj aag lagayi humne.

jo bhi milta hai yahan, nasibon se milata hai,
jisko bhi chaha wahi cheej na paayi humne.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts