tinke-tinke bikhra paya, dhunda jo khud ko ek din

tinke-tinke bikhra paya, dhunda jo khud ko ek din,
jiker apna kahin na paya, logo se jo pucha ek din. 

leh-lahate khet the aur unpar sunehri dhup thi,
gulshan ko bhi sehra paya, murd ke jo dekha ek din. 

josh tha.. woh kharosh tha sar pe uthaya aasman,
palkon ko bhi utha na paya, thak ke jo dekha ek din. 

gum pareshani thi, uljhan charon taraf, dukh-dard tha,
in sabki beech mein jo dekha, bhatka sa paya ek din.

aisa tha aaram, tha daulat kamai raat din,
par laga kuch na kamaya, khuda naam jaap bin. 

mandir dekha, masjid dekhi, dekhe girje.. guruduare,
par laga ke kuch na dekha, ya khuda tere deedar bin.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts