yahin kahin tum se mile the

yahin kahin tum se mile the,
yahin kahin tum ko kho diya,

in nagmon mein tum ko paya,
tannhai mein tum ko kho diya,

apne sawalon mein tum ko paya,
aur jawabon mein tum ko kho diya,

raat ke saaye mein tum ko paya,
aur ujaalon main tum ko kho diya,

lakhon nazaron mein tum ko paya,
do anshuon mein tum ko kho diya,

sadiyan bitayi teri talaash mein,
ek hi pal mein tum ko kho diya. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts