aaj phir barsaat ka bahana hai

aaj phir baarish ka bahana hai,
kisi ki yaad mein kho jaane ka mausam hai,

aaj tamannaoon ko umadna hai,
aaj phir kisi ki yaad mein aanshuon ko behna hai,

jo saath bitaye the kabhi.. unke
un paloon ko yaad karna hai,

haste hue barsaat mein bheeg ke,
apne aanshuon ko chupana hai,

dil mein jo aag aap ke liye,
usse barsaat se bhujana hai,

aaj phir barsaat ka bahana hai!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts