chalte chalte raah mein woh thokarein khaya kare,
aankh jiski aashmaan ki aur uth jaaya kare,
ek dafaa hota hai raushan aafataab-e-zindagi,
ek bhi katra na iske noor ka zaaya kare,
kya hua jo parr patjhar mein na chhaaya kar sake,
sukhe patton ka bichhauna ban ke bichh jaaya kare,
baarahaan apne diyen to aandhiyon mein bujh gaye,
ab to ek jhonke se dil apna seham jaaya kare!
aankh ka paani kabhi dhota tha mann maila mera,
jab se pathraayi yeh, ek katra na barsaaya kare!
ek kandhe ka sahaara jeeteji milta nahi,
chaar kandhe maut par har shaks hi paaya kare!
bad’duaa de ya duaa de, kuch samajh aata nahi,
zakhm dekar jab wahi zakhmon ko sahlaaya kare!
kya hua chaahat nahi, lekin khuda ki dain hai,
jo mila hai, hum ussi se dil ko bahlaaya kare!

No comments:
Post a Comment