mazdooron ki kismat mein kyon rona likha hai?
sar par sada kyon bhojh dhona likha hai?
zindagi bhar yeh mehal banate hain phir bhi,
mukaddar mein kyon jhauprdon mein sona likha hai?
banayi hai aisi kyon khuda takdeer inki,
aur ismein kyo tumne sada khona likha hai?
yeh karte hai sakkar jab sapne sabhi ke,
inke hisse kyon kanto ka bhichauna likha hai?
gar ismein khuda ki, marzi samajh le to,
kismat mein inki kyon, bas sapne sanjhona likha hai?

No comments:
Post a Comment