hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi

beet chuki hai raat ab jo, afsaane to wohi sunayegi,
hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi.

hariyaali jhadi hai jab perd se, patjhad ki kahani sunayenge,
mohabbat mein khayi jo haar hai, to nagmein aanshoon rulayenge,
chaat pe chadh door jitna bhi dekhein, raat nabh ke taare dikhayegi,
hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi.

jala hai patanga deep mein, jab bhawrah phool mein band hua hai,
mohabbat hi aage laata hai dil, jab papihe ki pi-pi sunta hai,
hamesha hi humnein yahi mana, mohabbat ki ruh tarpayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

zameen pe ab ho raha hai kya, ithaas bankar dohraayenge,
aur baaton ki tarah isko bhi log, ek din bhool jaayenge,
jo bhi hai aaj, kahani woh kal hamari zubaan yeh batlayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

kaanta chubha gar paav mein to, uss zakham par dard hi hoga,
ghabrao nahi mere dost, zakham waqt aane pe bhar jaayegi,
aagosh mein waqt ke beithi hai, jo zindagi to thoda rulayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

din hai dooba aur raat hai aayi, so jaa sapno mein kho jao,
nahi pa sakte ho din mein jo, tum raat sapnon mein paa jaao,
jas dard sahoge aaj gar to, subhah suhanni hokar aayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts