aakhri paigaam

ek chote se kaghaz mein ek ladki ke naam ek bayan tha,
woh bayan us ladke ka tha jo pehle kabhi uski jaan tha.

par afsos.. juda huyi unki mohabbat khatam hone se pehle,
aur akele jana tha safar par jiska raasta bilkul veeraan tha.

aaj barso baad mile apne mehbub ki iss chitthi dekh,
dil us masoom si ladki ka yaaron bahut pareshan tha.

sochne lagi khusi khusi to hum juda hue apno ki khaatir,
aur kabhi na karege baat yeh hum do dilo ka karaar tha.

jab pardhne lagi woh chitthi to ladki kuch samaj na payi,
kyuki likha tha,  jo sath gujra woh pal kitna khusgawar tha.

sochne lagi phir aaj yeh mohabbat ki baatein kyu,
kyuki dard pehle hi uske dil mein basa besumaar tha.

pardhte pardhte woh chitthi ko khatam hi kar rahi thi,
ki annt mein us kaghaz ke ek chota sa elaan tha,

pardh ke us elaan ko woh ladki rote-rote wahi gir padi,
woh aakhri elaan yeh tha.. jisne kar diya usko bejaan tha.

ki main dost hoon tumhare mehbub ka, 

woh ab iss duniya mein nahi,
tumhare liye tumhare mehbub ka..
yeh aakhri paigaam tha!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts