zinda rehne ko koi to bahana chahiye

safar mein gujari hai umar apni, ab ek thikana chahiye,
ke zinda rehne ko koi to bahana chahiye,

koi to ho jo inn rasmon se elaan-aye-baghawat kare,
kahi to andhere mein koi chirag jalana chahiye,

kab se veeran parda hai yeh aaina–aye–dil,
sochta hoon ab koi naya chehra sajana chahiye,

bahot muddat se banjar hai mere desh ki matti,
shayad ke ab mujhe lout ke ghar jana chahiye,

mujhe to bas uske sath ki tamana thi aye dost,
magar usse mere sath-sath sara zamana chahiye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts