ab kya kahein ke hum keise hain

aksar mere apne ye shikaayat dohrate hain,
ke hum unhein apne se nazar nahi aate hain,
kuch to mulakatein badhao,
hum ko jaano aapne aap ko batlaao...

ab kya kahein ke hum keise hain
aur kaise nazar aate hain,
yeh nazdikiyaan kayi baar faasle aur badha deti hain,
bas yahi sochkar hum kuch door nikal jaate hain,

kayi baar aisa bhi hota hai jab hum,
apne saaye se bhi katraate hain,
iss bepanah bheed se bachne ke khaatir,
kahi veeranon mein chale jaate hain,

mujhse nazdikiyaan badhane ke khaatir,
woh mujhe wahaan bhi khoj lete hain,
yeh phone wahaan bhi baj uthta hai lekin,
hum hi shaayad, silent mode par chale jaate hain,

ghar mein aaine nahi kya tumhaare raaj,
log aksar yeh jumle dohraate hain,
kasur in bikhri julfon ka nahi aye dost,
dar-asal aainon se nazrein hum kam hi milate hain,

har koi kehta hai aage badho.. 

kuch naya suruwat karo,
sach to yeh hai ke sochta bahut hai yeh raaj,
aur issi gehri soch ke chalte aksar
apne iraade dhundhle pard jaate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts