na chhed mere jazbaaton ko

na chhed mere jazbaaton ko,
dil ka dard ruk na payega,

jo huyi hulchul itefaak se bhi,
to ghumon ka payimana chhalak jayega.

mat de hawa dabi huyi un chingaariyon ko,
warna tera bhi daaman iss aag se jal jayega.

kaid hai jo dariya in aankhon mein,
mat de usko aur ashko ke moti,
nahi to woh bhi bewajah beh jayega.

kaise bhool paunga woh beete huye pal,
kaise mita paunga uski yaadein iss dil se,
jab ussi ka hi ehsaas meri har saans se ayega.

yeh woh zakhm hai jo mile hain wafa ke badle,
yeh woh tohfe hain jo uski nishaniyan hain,
agar kahu usko bewafa to daag mohabbat pe lag jayega.

chala jauga mehfilon se tanhai mein,
aur phir dhoondhunga mehfilon ko hi tanhai mein,
shayad yehi ek aakhri mukaam zindagi mein aayega.

kyun bichha ke baithu main nigaahe uski raahon mein,
kyun karu aaj bhi intezaar uske aane ka main,
waqt woh bhi na raha to waqt yeh bhi chala jayega.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts