nakam rehta hoon jab bhi apna koi imtehaan leta hoon

main jab hawa ke iraadon ko jaan leta hoon,
larde bagair hi phir haar maan leta hoon,

gairon ki yaad anghoote se aane lagti hai,
main jab bhi haath mein teer-o-kamaan leta hoon,

fizaa-e-shehar se aati huyi hawaon ko,
main saans lene se pehle hi chhan leta hoon,

barde sukoon se aksar zameen ke bistar par,
ab aasmaan ki chaadar bhi taan leta hoon,

yeh aur baat hai ke poora koi nahi hota,
hamesha dard koi dil mein thaan leta hoon,

yeh wakeya hai ke nakam rehta hoon hamesa,
main jab bhi apna koi imtehaan leta hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts