yeh duniya yeh sansaar kyun hai

bahut socha par main samajh na paya,
yeh duniya yeh sansaar kyun hai?
nafratein hi dabbi hain jab dilon mein,
to cheharo pe jhootha pyaar kyun hai?

kuch bhi to nahi hai iss jahan mein apna,
phir kyu basa hai aankhon mein jhootha sapna,
mitti hai sab.. mitti mein mil jayenge ek din,
phir bhi na jaane khud pe itna ahankaar kyu hai?

main muskuraya bhi bahut mehfilon mein,
maine baati bhi khushiyan zamane bhar ki,
par na jaane phir bhi tanhaiyon mein dil ko
ro kar ke hi milta karaar kyu hai?

barde shauk se log tord dete hai dilon ko,
chand lafzon mein ugal dete hai zehar ko,
jab koi samajh hi nahi sakta jazbaaton ko yaha,
to phir raaj hi berukhi ka hakdaar kyu hai?


nafratein hi dabbi hain jab dilon mein,
to cheharo pe jhootha pyaar kyun hai? 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts