hum bhi nikale hain hosla kar ke

ek patthar ko yun khuda kar ke,
kya mila aisa tazurba kar ke,

dard bardhta gaya dawa kar ke,
lammha-lammha zarra-zarra kar ke,

ban gayi baddua, jo thi kabhi khushi,
jis ko maanga kiye humne dua kar ke,

zakhm khaaye bare-bare humne,
uss se choti si ilteja kar ke,

zindagi aazmaye jee bhar ke,
hum bhi nikale hain hosla kar ke,

raaste mein yakin mila lekin,
woh bhi jaati rahi dagaa kar ke,

sirf yaadein hi humne paayi hain,
bhool jaane ka faisla kar ke,

usski raahon ka rukh agar karna,
zakhm khaane ka hosla kar ke,

yaad rakhna bhalayi auron ki,
bhool jaana magar bahala kar ke. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts