chaar kadam bas meri raah jis par main chalta rehta hoon

aur kahan main kuch kehta hoon,
deewaron sa chup rehta hoon,
chaar kadam bas meri raah,
jis par main chalta rehta hoon.

maine hai ek aagn jagaya,
jis mein main jalta rehta hoon,
paani ki bas ek lehar sa,
uthta hoon, girta rehta hoon.

mera kahan kab koi thikaana,
behta hoon, behta rehta hoon,
sukoon maut si meri hasrat,
jiske liye marta rehta hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts