yehi meri kahani yehi mera itehaas hai

anjaani raahon pe jab chala tha main,
koi nahi tha mera, bilkul akela tha main,

din guzarte gaye, log milte gaye,
raatein kat-ti gayi, yaari bard-ti gayi,

rishte badhne lage, armaan jurdne lage,
girne ke darr se anjaan, hum urdne lage,

bhool ke khud ko, logo ke ho chale,
sapne bhi apne, kahi door kho chale,

pahunchaate rahe sab ko manzilon pe,
apni hi manzil kahi kho gayi,

dekhte hi dekhte yeh duniya saari,
maano dushman hamari ho gayi,

rooth gayi sab khushiyan, uth gaye sab mehfile,
reh gaye hum tannha, bichhard gaye sab kaafile,

magar na jaane kyu jee rahe hain,
jaane kiski talaash hai?

bas kuch beeti huyi yaadon ke siva,
kuch bhi nahi hamare paas hai,

bas kar raha hoon nazar aapke kuch shabad apne,
yehi meri kahani yehi mera itehaas hai,
yehi meri kahani yehi mera itehaas hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts