jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi

us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi,

tadpegi woh bhi kisi roz kisi se milne ke liye,
jis roz unhein bhi kisi se mohabbat hogi,

us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi,

jaan paayegi woh bhi judaai ke dard ko,
bichadkar jab kisi se unki mulakaat na hogi,
us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi, 


saahil par baith kar woh bhi kabhi pukara kareinge,
jab bhi tannhai se unki bhi dosti hogi,
us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi, 


jisne kabhi gam na kiya tha mere dil tord jaane ka,
todega jab koi uska bhi dil, tabhi unhein mohabbat ki kadar hogi,
us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi, 


bin mausam ashkon ki nigaahon se barsaat bhi hogi,
jabhi kisi se milne ki unko bhi khwahish hogi,
us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi, 


har ek ko azmaa kar jabhi unhein sirf dagaa hi milega,
mehsus tabhi unhein iss raaj ki kami hogi,
us roz bhi ek kayamat hogi,
jis roz unki bhi meri jaisi haalat hogi... 


mat haar aye dil

mat haar aye dil, yeh duniya ek mela hai,
taaron ki raat mein har koi yahan akela hai,

mat haar mana, tannha safar hai lekin
ashmaan ki chaah mein, har dil yahan akela hai,

badalte mausamon ka rukh yaha dekha hai lekin,
sukh dukh ke mausam mein, ek tu hi nahi akela hai,

mat haar mana, waqt ka dosh nahi lekin,
kismat ne hi ajeeb khel tujhse khela hai,

mat haar mana, gum bahut hain lekin,
ek tu hi nahi jisne, gum ko yahan jhela hai,

mana.. chalti lehron ka rukh rukta nahi lekin,
wohi jeeta jisne, toofanon ko yaha jhela hai,

mat haar aye dil, yeh duniya ek mela hai,
taaron ki raat mein har koi yahan akela hai.

usse bana kar ghazal mein subh-o-sham likhta raha

usse bana kar ghazal mein subh-o-sham likhta raha,
haqeekat ki har ghadi mein usse salam likhta raha,

woh meri mohabbat ko mera janoon samajh baithi,
main naam-e-mohabbat ko baar-baar likhta raha,

kar lo ikrar-e-dilagi mujh se, ye kaha tha usse maine,
ajab shakhs thi, mujhe hi bewafa kehti rahi,

uski aarzu yeh thi ke bhool jaao mujhe,
aur main har deewar par ishq ki intaha likhta raha,

zulm sehna hi to ishq ki naam hai doston,
woh badnam karti rahi aur main nadaan likhta raha.

a vanished friend

around the corner I have a friend,
in this great city that has no end,

yet the days go by and weeks rush on,
and before I know it, a year is gone.

and I never see my old friends face,
for life is a swift and terrible race,

he knows I like him just as well,
as in the days when I rang his bell.

and he rang mine but we were younger then,
and now we are busy, tired men.

tired of playing a foolish game,
tired of trying to make a name.

“tomorrow” I say! “I will call on him
just to show that I am thinking of him.”

but tomorrow comes and tomorrow goes,
and distance between us grows and grows.

around the corner, yet miles away,
“here’s a telegram sir,” “he died today.”

and that’s what we get and deserve in the end.
around the corner, a vanished friend.

socha tha tum mil jaoge

socha tha tum mil jaoge,
dil ki baatein batalaoge,

toota mera sapna jhoota,
humko to sirf isne loota,

soch-soch kar hua main hairan,
tan se lut gayi chain aur jaan,

socha tha sukoon milega,
mann ko thandak pahunchayega,

tum aaoge thandak leker,
mere sar par hath ferker,

poochoge tum mera hal,
main boloonga sar ko jhukakar

tumhari yaad satati hai,
tan mera pighlati hai,
mann hi mann rulati hai..

kehna to bahut kuch tha us din bhi mujhe

bhulkar bhi tujhe bhula naa sake,
aur baar baar yaad karke bhi tujhe yaad aa naa sake,

aisi ki thi kuch paane ki chah humne,
ki phir aur fariyaad ko haath utha naa sake,

num huyi meri aankhein kuch iss tarha tere sitam se,
beet gayi umar par hum muskra naa sake,

waise to tune apna banakar chhod diya tha,
chah kar bhi hum tujhe thukra naa sake,

kehna to bahut kuch tha us din bhi mujhe,
the haalaat aise ki hum lab hila naa sake,

dhadhakta  dil mera, royi thi ruh bhi bahut,
par kaise the bemaane aanshu,
tujhe mere pyaar ka yakeen tak dila naa sake,

bhulkar bhi tujhe bhula naa sake,
jaise yaad kar kar ke bhi tujhe yaad aa naa sake.

ab kya kahein ke hum keise hain

aksar mere apne ye shikaayat dohrate hain,
ke hum unhein apne se nazar nahi aate hain,
kuch to mulakatein badhao,
hum ko jaano aapne aap ko batlaao...

ab kya kahein ke hum keise hain
aur kaise nazar aate hain,
yeh nazdikiyaan kayi baar faasle aur badha deti hain,
bas yahi sochkar hum kuch door nikal jaate hain,

kayi baar aisa bhi hota hai jab hum,
apne saaye se bhi katraate hain,
iss bepanah bheed se bachne ke khaatir,
kahi veeranon mein chale jaate hain,

mujhse nazdikiyaan badhane ke khaatir,
woh mujhe wahaan bhi khoj lete hain,
yeh phone wahaan bhi baj uthta hai lekin,
hum hi shaayad, silent mode par chale jaate hain,

ghar mein aaine nahi kya tumhaare raaj,
log aksar yeh jumle dohraate hain,
kasur in bikhri julfon ka nahi aye dost,
dar-asal aainon se nazrein hum kam hi milate hain,

har koi kehta hai aage badho.. 

kuch naya suruwat karo,
sach to yeh hai ke sochta bahut hai yeh raaj,
aur issi gehri soch ke chalte aksar
apne iraade dhundhle pard jaate hain.

hum bhi nikale hain hosla kar ke

ek patthar ko yun khuda kar ke,
kya mila aisa tazurba kar ke,

dard bardhta gaya dawa kar ke,
lammha-lammha zarra-zarra kar ke,

ban gayi baddua, jo thi kabhi khushi,
jis ko maanga kiye humne dua kar ke,

zakhm khaaye bare-bare humne,
uss se choti si ilteja kar ke,

zindagi aazmaye jee bhar ke,
hum bhi nikale hain hosla kar ke,

raaste mein yakin mila lekin,
woh bhi jaati rahi dagaa kar ke,

sirf yaadein hi humne paayi hain,
bhool jaane ka faisla kar ke,

usski raahon ka rukh agar karna,
zakhm khaane ka hosla kar ke,

yaad rakhna bhalayi auron ki,
bhool jaana magar bahala kar ke. 

kuch log badal gaye hain

kuch log badal gaye hain is raat ki
tanhayion ke, sab rang badal gaye hain,

chaand nikla hai waise hi,
andhere badal gaye hain,

jinke bharose thi khusiyan ,
woh badal gaye hain ,

manzile to abb bhi wo hi hain,
kuch rashte badal gaye hain,

jinpe kiya tha bharosa humne ,
woh dost bichard gaye hain,

dekhe the kabhi jo humne ,
woh khawab badal gaye hain,

jo banaye the kabhi humsafar ,
aaj woh hi mukarr gaye hain,

aise tute huye dil ke shaye,
jazbaat badal gaye hain,

na badale kabhi hum,
na badale hamare khayalat,

bas rona hai yahi ,
kuch log badal gaye hain.

beeti baatein basi hain sanam seene mein

koi jalata hai ghum seene mein,
phir bhi sard hai mausam seene mein,

siskti hain saansein.. bikhar-ti hain baahein,
aab to ghut-ta hai dum seene mein,

bhatak-ti hain raahein.. sulagti hain raatein,
bada mayoos hai aalam seene mein,

roti hain aankhein,  jab yaad aati hain baatein,
beeti baatein basi hain sanam seene mein,

tadpti hain yaadein, nikalti hain aahein,
kayi chippa hai sitam seene mein,
koi jalata hai ghum seene mein,
phir bhi sard hai mausam seene mein.


bhool jane ka jab bhi tumhein irada chaha

maine kab mulakat ka wada chaha,
door reh kar tujh ko aur bhi jada chaha,

har ghadi.. har waqt.. har subah.. har sham,
meri aankhon ne tujhe dekhne ka fasana chaha,

mere dil mein, dardkan ki tarah rahti ho tum,
tere siwa kisi aur ko na sanam hum ne chaha,

mere daman se lipat kar roti hain yaadein teri,
tere khayalon se jab bhi nikalna chaha,

aur bhi shidat se yaad aaye tum mujhe,
bhool jane ka jab bhi tumhein irada chaha.

mohabbat nahi na sahi.. nafrat mere liye hoti

woh phool si muskurahat mere liye hoti,
woh masoom shararat mere liye hoti,

main us zulf ki chaaon main so jaata,
woh kali raat mere liye hoti,

raat bhar woh ghomaati apna kangan,
woh bechayni.. woh betaabi mere liye hoti,

woh ek taara tha khule aasmaan mein,
aye kaash woh roshni mere liye hoti,

mere wazood main bhi zindagi ka suraagh milta,
jo woh jhuki nazar mere liye hoti,

rishta kuch to ban jaata apna bhi,
mohabbat nahi na sahi.. nafrat mere liye hoti..! 

bas aakhri baar tumse milna chahta hoon

suno.. ek aakhri baar tumse milna chahta hoon,
ek aakhri baar tumhari nazaro se nazar milana chahta hoon,

tum bhale mujhse kuch na kaho par,
tumhein apni dil ki saari baatein batana chahata hoon, 

ek aakhri baar tumse milna chahta hoon.

jo gille sikhway hain un sabko mitana chahata hoon,
bas ek aakhri baar tumse milna chahata hoon.

Just Meet Me Once !!

mera dil akela hi to aisa nahi zamaane mein

lagta ek pal hai naya rishta koi banaane mein,
bahot mushkil hai magar door tak usse le jaane mein,

vaada karte to hain ta-umr saath nibhaane ka,
toot jaate magar rishte hain, jaane anjaane mein,

aata kyun hai apnaa bankar koi dil ke kareeb,
jab hoti mushkil hai ek galti bhi bhulaane mein,

khair, accha kiya jo tord diya bharam mera,
sochta tha ke hoon accha dosti nibhaane mein,

toote huye rishte chubhte unko bhi to honge,
mera dil akela hi to aisa nahi zamaane mein. 

chaar kadam bas meri raah jis par main chalta rehta hoon

aur kahan main kuch kehta hoon,
deewaron sa chup rehta hoon,
chaar kadam bas meri raah,
jis par main chalta rehta hoon.

maine hai ek aagn jagaya,
jis mein main jalta rehta hoon,
paani ki bas ek lehar sa,
uthta hoon, girta rehta hoon.

mera kahan kab koi thikaana,
behta hoon, behta rehta hoon,
sukoon maut si meri hasrat,
jiske liye marta rehta hoon.

jhoote sapne aankhon mein kab tak hum sajaayenge

jhoote sapne aankhon mein kab tak hum sajaayenge,
tut jaane par unke phir aanshu hum bahaayenge, 

hain hum insaan, insaan hona khud mein ek sazaa,
jaane kis roz hum yeh baat samajh paayenge.

jeena humko hai khokle riwaazon ko nibhaate huye,
dharm-o-mazhab ke issi bandhan mein jiye jaayenge,

hote jo pancchi naa baandh paati sarhadein bhi humein,
hain jo insaan, bebas bin pankhon ke kahaan jaayenge.

reh jaayegii yeh zindaagi bhi ek samjahautaa bankar,
jaankar bhi hum kuch naa kar paayenge. 

apne usoolon par hum apne andaaz se chalte hain

zindagi ke safar ka tay faasla karte rahe,
nigaahein dhoondhti rahi manzil paanv chalte rahe,

ek gumshuda hoon main is bheed ke shehar mein,
khud ki talaash mein hum sab se milte rahe,

yeh mana murjha kar khaakh mein mil jana hai inhein,
dard-e-dil mein magar umeed ke gul khilate rahe,

dekh kar har hassin chehare ko yeh dua deta chal,
julfon ke saaye tale maikhane khula karte rahe,

apne usoolon par hum apne andaaz se chalte hain,
karte hain jo raaj se gila, woh karte rahe..!! 

jab se tum gaye ho

veeraan hai mehfil meri jab se tum gaye ho,
bujh gayi hai saari roshni jab se tum gaye ho,

andheron ke saaye mein hai abb rooh meri,
roshni ne chhorda daaman jab se tum gaye ho,

dil ki duniya khali hai tab se,  jab se tum gaye ho,
sab aane se darte hain yahan, jab se tum gaye ho,

sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon,
kissi ne na poonche aanshun, jab se tum gaye ho,

khamosh ho chuki hai zubaan, jab se tum gaye ho,
meri aankhon mein toote huye sapne kuch de gaye ho,

unhi sapno mein ab zindagi ki guzzar karta hoon,
us khawab ko torda nahi, jab se tum gaye ho,

door jab tum mujh se ho to yeh khyal aata hai,
kya meri tarah tum bhi aahein bhar rahe ho,

phir jab aati hain mujhe yeh hichkiyaan,
yeh sochta hoon kahi tum mujhe yaad kar rahe ho,

zinda hoon main yahaan to teri hi khatir,
ke maut bhi aati nahi hai,  jab se tum gaye ho,

akelapan hi hai bas sirf abb mere saath,
khushiyan to tum se thi, tum unko le gaye ho.

abb na manzil na rasta hai koi

ek lamhe ki bas khata hai koi,
abb na manzil na rasta hai koi,

kaise saans lena hai, zindagi to nahi,
roz mar mar ke jee raha hai koi,

mein tere pas aa to jaoon magar,
mujh ko roo roo ke rokta hai koi,

mujh ko is raat ki subah to mile,
mein bhi samjhon mera khuda hai koi,

ek lamhe ki bas khata hai koi,
abb na manzil na rasta hai koi.

nakam rehta hoon jab bhi apna koi imtehaan leta hoon

main jab hawa ke iraadon ko jaan leta hoon,
larde bagair hi phir haar maan leta hoon,

gairon ki yaad anghoote se aane lagti hai,
main jab bhi haath mein teer-o-kamaan leta hoon,

fizaa-e-shehar se aati huyi hawaon ko,
main saans lene se pehle hi chhan leta hoon,

barde sukoon se aksar zameen ke bistar par,
ab aasmaan ki chaadar bhi taan leta hoon,

yeh aur baat hai ke poora koi nahi hota,
hamesha dard koi dil mein thaan leta hoon,

yeh wakeya hai ke nakam rehta hoon hamesa,
main jab bhi apna koi imtehaan leta hoon.

ek mithi yaad se jyada mohabbat kuch bhi nah

ek mithi yaad se jyada aaj mohabbat kuch bhi nahi,
gila nahi khud se koi, zamane se shikayat kuch bhi nahi,

dil ke paaon mein mehfuz hai woh khushnuma lamhein,
kitaabon mein phul rakhne ki yun meri aadat kuch bhi nahi,

dil tuta jis din us pal yeh ehsaas hua,
khushiyon ke baazar mein ek aanshun ki keemat kuch bhi nahi,

khul jaye maikhane wahan jahan uthe woh sharaabi aankhein,
ek tute huye paimane ki aur chahat kuch bhi nahi,

daur-e-ulfat ne beshkeemti tazurbon se nawaza raaj ko,
haal-e-zindagi mein chahe inki ehmiyat kuch bhi nahi.

sab wahi hai naya kuch bhi nahi

sab wahi hai ke zamaane mein naya kuch bhi nahi,
haath ki channd lakeeron mein bayaan kuch bhi nahi.

tu jo keh de to tujhe chaand pesh kar doon main,
saamne tere woh pather ke siwa kuch bhi nahi.

paas jo tu nahi to meri jung mukaddar se hai,
paas jo tu hai to phir meri dua kuch bhi nahi.

kab se pardhta hoon ek hi baat unke chehare par,
ji huzur mere chehare pe likha kuch bhi nahi.

jalwe ho tere to phir kyu na marre jaayein hum,
nazar gar garm ho to husn ko haya kuch bhi nahi.

zindagi haar gaye ghum ke saude mein,
aaya hi aaya mere paas gaya kuch bhi nahi.

zinda rehne ko koi to bahana chahiye

safar mein gujari hai umar apni, ab ek thikana chahiye,
ke zinda rehne ko koi to bahana chahiye,

koi to ho jo inn rasmon se elaan-aye-baghawat kare,
kahi to andhere mein koi chirag jalana chahiye,

kab se veeran parda hai yeh aaina–aye–dil,
sochta hoon ab koi naya chehra sajana chahiye,

bahot muddat se banjar hai mere desh ki matti,
shayad ke ab mujhe lout ke ghar jana chahiye,

mujhe to bas uske sath ki tamana thi aye dost,
magar usse mere sath-sath sara zamana chahiye.

zara sa hatt ke chalta hoon zamane ki riwayat se

main logon se mulakaton ke lamhein yaad rakhta hoon,
main baatein bhool bhi jaun to lehje yaad rakhta hoon,

sar-e-mehfil nigahein mujh pe jin logo ki pardti hai,
nigahon ke hawale se woh chehare yaad rakhta hoon,

zara sa hatt ke chalta hoon zamane ki riwayat se,
ke jin pe bojh main daalun woh kaandhe yaad rakhta hoon.

zindagi ka pata nahi maalum

zindagi ka pata nahi maalum,
kuch bhi to tere siva nahi maalum,
jisne baksha hai dard, usko bhi..
dard-e-dil ki dawaa nahi maalum.

dhire hi sahi usne kuch kaha to tha,
hothon par koi baat aayi to thi,
zor-e-lab usne kuch kaha to tha,
bad-duaa thi ya duaa, nahi maalum.

us se jo bhi mili sazaa, seh liya..
humko apni khata nahi maalum,
raat phir neend meri khul gayi,
thi woh kiski sadaa nahi maalum.

jaan dena hi humko aata hai,
ishq ka falsafa nahi maalum,
zindagi ka pata nahi maalum,
kuch bhi to tere siva nahi maalum. 

yeh duniya yeh sansaar kyun hai

bahut socha par main samajh na paya,
yeh duniya yeh sansaar kyun hai?
nafratein hi dabbi hain jab dilon mein,
to cheharo pe jhootha pyaar kyun hai?

kuch bhi to nahi hai iss jahan mein apna,
phir kyu basa hai aankhon mein jhootha sapna,
mitti hai sab.. mitti mein mil jayenge ek din,
phir bhi na jaane khud pe itna ahankaar kyu hai?

main muskuraya bhi bahut mehfilon mein,
maine baati bhi khushiyan zamane bhar ki,
par na jaane phir bhi tanhaiyon mein dil ko
ro kar ke hi milta karaar kyu hai?

barde shauk se log tord dete hai dilon ko,
chand lafzon mein ugal dete hai zehar ko,
jab koi samajh hi nahi sakta jazbaaton ko yaha,
to phir raaj hi berukhi ka hakdaar kyu hai?


nafratein hi dabbi hain jab dilon mein,
to cheharo pe jhootha pyaar kyun hai? 

na jaane aaj bhi in aankhon ko uski talaash kyun hai

ghum-e-zindagi mein dubo diya jisne hamein,
beech majhdaar mein chhord diya jisne hamein,
na jaane aaj bhi in aankhon ko uski talaash kyun hai?

kyu hai woh shaks aaj bhi pyaar ke kaabil,
kyu hai woh shaks aaj bhi iss dil mein shaamil,
door hote huye bhi mujshe woh aaj bhi mere pass kyu hai?

nahi samjah pata ulfat-e-manzar ko main,
na hosh hai khud ki na khabar hai khud ki,
par phir bhi na jaane dil mein uska ehsaas kyun hai?

bahut mile hain log iss duniya mein mujhe,
bahut apnaye hain rishte iss duniya mein maine,
na jane aaj bhi lagta woh rishta khaas kyun hai?

toot ke gir chukka hoon jaise ek laash ki tarah,
aur shayad ruk si gayi hai dhadkan bhi meri,
par na jaane iss jism mein baaki abhi bhi saans kyun hai?

woh na aayi kabhi phir bhi dil ne usse dua di

intezaar mein uske hamne zindagi gawa di,
woh na aayi kabhi phir bhi dil ne usse dua di,

khayi thi kabhi kasme saath nibhane ki hamne,
par usne to har kasam mitti mein mila di,

jaane kyon dekhti hai aankhein aaj bhi uska raasta,
jab usne yeh aankhein bhi ashko se saja di,

bewafai usne nahi hamare dil ne ki hai,
jo jaante huye bhi ki bewafa hai woh, usko wafa di,

khade hain hum to abhi bhi ussi mord pe,
jis mord pe usne mohabbat ki chitta jala di,

hamne sifarish ki uss khuda se aur,
apni saansein bhi uske naam likhwa di.

doston ki hi mehfil mein ek dushman nazar aaya

doston ki hi mehfil mein ek dushman nazar aaya,
mehfil to bhari hi thi yeh dil bhi bhar aaya,

ordhe huye thi nakaab woh sharafat ka iss kadar,
ke pehchan pane ka usko na humein hunar aaya,

bardi chalaaki se kar diye kuch vaar usne,
ke mehfil mein tanha ho ke main bikhar aaya,

kabhi basta tha jo sapna ban ke aankhon mein doston ki,
aaj ban ke aanshon raaj ke aankhon se utar aaya.

na chhed mere jazbaaton ko

na chhed mere jazbaaton ko,
dil ka dard ruk na payega,

jo huyi hulchul itefaak se bhi,
to ghumon ka payimana chhalak jayega.

mat de hawa dabi huyi un chingaariyon ko,
warna tera bhi daaman iss aag se jal jayega.

kaid hai jo dariya in aankhon mein,
mat de usko aur ashko ke moti,
nahi to woh bhi bewajah beh jayega.

kaise bhool paunga woh beete huye pal,
kaise mita paunga uski yaadein iss dil se,
jab ussi ka hi ehsaas meri har saans se ayega.

yeh woh zakhm hai jo mile hain wafa ke badle,
yeh woh tohfe hain jo uski nishaniyan hain,
agar kahu usko bewafa to daag mohabbat pe lag jayega.

chala jauga mehfilon se tanhai mein,
aur phir dhoondhunga mehfilon ko hi tanhai mein,
shayad yehi ek aakhri mukaam zindagi mein aayega.

kyun bichha ke baithu main nigaahe uski raahon mein,
kyun karu aaj bhi intezaar uske aane ka main,
waqt woh bhi na raha to waqt yeh bhi chala jayega.

yehi meri kahani yehi mera itehaas hai

anjaani raahon pe jab chala tha main,
koi nahi tha mera, bilkul akela tha main,

din guzarte gaye, log milte gaye,
raatein kat-ti gayi, yaari bard-ti gayi,

rishte badhne lage, armaan jurdne lage,
girne ke darr se anjaan, hum urdne lage,

bhool ke khud ko, logo ke ho chale,
sapne bhi apne, kahi door kho chale,

pahunchaate rahe sab ko manzilon pe,
apni hi manzil kahi kho gayi,

dekhte hi dekhte yeh duniya saari,
maano dushman hamari ho gayi,

rooth gayi sab khushiyan, uth gaye sab mehfile,
reh gaye hum tannha, bichhard gaye sab kaafile,

magar na jaane kyu jee rahe hain,
jaane kiski talaash hai?

bas kuch beeti huyi yaadon ke siva,
kuch bhi nahi hamare paas hai,

bas kar raha hoon nazar aapke kuch shabad apne,
yehi meri kahani yehi mera itehaas hai,
yehi meri kahani yehi mera itehaas hai...

bura bana ke usko mera hi naam dete hain

log kehte hain ki achhai nahi reh gayi duniya mein,
par khud hi to woh burai ko anjaam dete hain,

gar koi chal padta hai kuch achha karne ke liye,
har koshish ko uski nakam karte hain,

pathar ban ke khade ho jaate hain raah-e-safar mein,
aur phir girr jaane ka ussi ko ilzaam dete hain,

dekhte nahi kabhi jhaank ke girebaand mein apne,
dage-baaziyon ko apni hi salaam dete hain,

pehle khud hi karte hain majboor galat raah pe chalne ko,
phir bura bana ke usko mera hi naam dete hain.

zindagi humein ab yehi sikhaye ja rahi hai

jo paas ho kar ke bhi bahut door hai mujhse,
unke sang bitaye lamho ki yaad aaye ja rahi hai,
fark nahi padta kuch mujhe begaano ki gaaliyon se bhi,
par mere apno ki mujhe khamoshi sataye ja rahi hai.

kyun chhut jata hai har haath mere haath se milne ke baad?
kyun rooth jaata hai har shaks mujhse kuch lamhon ke baad?
kyun chhord jata hai saath kuch door chalne ke baad?
kaisi yeh dosti hai jo duniya nibhaye ja rahi hai?

ab to khud pe bhi nahi raha yakin mujhko,
auron par to yakin ka matlab hi nahi hai,
kisi bhi rishte ko dil se na lagaana ab raaj,
zindagi humein bas yehi sikhaye ja rahi hai.

All Time's Favourite Posts