yun roz tardap-tardap kar marne se accha hai

hum to nikle the ghar se ek dost banane ke liye,
duniya mein ek poudha pyaar ka ugane ke liye,

suna tha iss raah per lakhoon mar mitte,
hum chale the lekar tamnna ussi raah ko apnane ke liye,

zindagi veeraan thi bina kisi humsafar ke,
sang lena tha koi humsafar sath nibhane ke liye,

andheroon ke darmiyaan ujjala bahut kam milta hai,
khud ko hi mitta baitha unki mehfil ko sajane ke liye,

kaise bhool jayein unke liye raat din tardpte hain,
aayein the zami par hum to unko paane ke liye,

juthe vaadon kasmon se kabhi pyaar nibhayi nahi jati,
yeh to woh rista hai jisme sadiyan beet jati hai banane ke liye,

amir hokar mehalon mein rahne se kya fayda,
chota sa dil hi khafi tha unko dil mein basane ke liye,

maykhanoon mein jakar logo ko pitte dheka hai,
unki yeh aakhen hi kafi thi umar bhar pilane ke liye,

yun roz tardap-tardap kar marne se accha hai,
ek hi baar aaja tu raj ko jalane ke liye !!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts