jo mili woh bhi chnnd lamhon ke liye mili

mushkilon mein jo yaar ka sath na nibha sake,
aise bewafa yaar ka milna bhi kya,

jo mili woh bhi chnnd lamhon ke liye mili,
aise adhure pyaar ka milna bhi kya,

sawan mein barsi hai aakhein barsaat ki tarah,
be-mausam mein bahaar ka milna bhi kya,

jism se noch li lahu ka har katra-katra,
jism par zakhmon ki maar ka milna bhi kya,

unche-unche mehalon ki khwaish bhi kyon karu,
jisme tu nahi aise ghar-baar ka milna bhi kya,

raj zindagi ke hathoon hai majboor,
har dard ke sang jee raha hai zarur,

na dil ko, na jazbatoon ko jaha samjhe koi,
aise sansar ka milna bhi kya !!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts