patharon ke shehar mein pathar dil insaan

guzre huye tufaan ke bas nishaan reh gaye hain,
tute huye dil mein ghayal armaan reh gaye hain,

kisko sunayein haal e dil, kaun ashk dekhega?
andhi bastiyon mein log be-jubaan reh gaye hain,

dhua uthta dekha raat sab ne ghar se mere,
jalte dil ki aatish se log anjaan reh gaye hain,

waqt ke chabhukon ke nishaan dil par hai kaayam,
apnon ke hum par yehi kuch ehsaan reh gaye hain,

nazook dil torde jate hain sheeshe samjh kar,
patharon ke shehar mein pathar dil insaan reh gaye hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts