kaise kare yakin ab tumhari baaton ka

beet gaya waqt intezar karte-karte bahaar ka,
mil saka na zindagi ko ek pal bhi karaar ka,

ab tannha baithe rasta dekhte hain maut ka,
sahara reh gaya hai bas beete huye yaadon ka,

din ke ujjale ne to humko barbad kar diya,
darte hain andhere se kya bharosa raat ka,

kasame jo uthai thi woh bhi na nibha sake,
kaise kare yakin ab tumhari baaton ka,

chahat nahi hai ab to na sahi sanam,
guzara tha jo kabi shukriya us saath ka.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts