woh tera mujhko satana yaad aata hai

woh tera chhup ke muskurana yaad aata hai,
woh tera yun khil-khilana yaad aata hai,

woh tera mujhko satana yaad aata hai,
woh tera mujh ko tardpana yaad aata hai,

woh tera chhat par aana yaad aata hai,
woh baahein faila kar bulana yaad aata hai,

woh tera rooth kar manana yaad aata hai,
woh baat-baat pe samjhana yaad aata hai,

woh dekh kar chehra chhupana yaad aata hai,
woh mere nishaniyon ko jalana yaad aata hai,

woh tere sang beeta zamana yaad aata hai,
woh aanshuon mein bheeg jana yaad aata hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts