khud se lardun ya halaat se lardun

zindagi ke kis-kis sawalat se lardun,
khud se lardun ya halaat se lardun,

din ke ujjale se hi darr lagta hai mujhe,
kaise iss tanhai bhari raat se lardun,

chnnd sikkoon ki khn-khn ka daman tham liya hai tune,
kab tak tere ess badale huye khayalat se lardun,

de koi aisi duaa ki raj ki zindagi ki sham ho jaye,
aakhir kab tak main ess zindagi ki hawalat se lardun?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts