har thokar par yeh sochta rehta hoon

chehare par muskaan liye huye bhi main to rota rahta hoon,
khwaabo mein to unse mil shaku, isiliye mein to sota rehta hoon,

kisi ko kuch fark nahi pardta, aur fursat bhi nahi ki sune meri aawaaz,
yaaro isiliye kabhi bhi... kahi bhi kuchh bhi main bolta rehta hoon,

nasha to karta hoon aur pe ke hosh bhi kho deta hoon auro k tarah,
par sharaab ki jagah gam pe k main dolta rehta hoon,

bahut kuch tabaah ho chuka hai, meri yahi ek aadat ki wajah se,
phir bhi na jaane kyu, har baat ko main apane hi taraazu se tolta rehta hoon,

kitna pyaara tha, aur maasoom bhi tha, pata nahi kaha kho gaya,
iss duniya ke mele mein ab bhi main apane aap ko khojata raheta hoon,

lardakhadaane lage hain ab to mere kadam zindagi ka bojh uthaate uthaate,
kab yeh safar khatm hoga, har thokar par yeh sochta rehta hoon,

baatein karna aur us par amal karna, yeh do alag alag pahelu hai yaaro,
kahne ko to main bhi bahut achha aur pyaara baatein bolta rehta hoon. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts