dil mera ek aag ka dari­ya dikhayi deta hai

main kya bataun ki kya kya dikhayi deta hai,
jahan bhi dekho maut ka saya dikhayi deta hai,

har taraf mujhe ek shor sa sunayi deta hai,
har shaks mujhe ghabraya dikhayi deta hai,

jisko bhi dekho bahut tannha dikhayi deta hai,
sara shehar mujh ko akela dikhayi deta hai,

yeh kya buri-balla aan pardi hai jahaan par,
jisko bhi dekho bas roota hua dikhayi deta hai,

jahan jahan bhi uska jalwa dikhayi deta hai,
kya bataun ki mujh ko kya kya dikhayi deta hai.

rang kadam kadam par ek naya rang badalti hai,
tera shehar bhi mujhko tum sa dikhayi deta hai,

haye! yeh ragoon me­in doulat josh-e-mohobbat,
dil mera ek aag ka dari­ya dikhayi deta hai,

kya yeh meri hi aankhon ka challawa hai??
ya phir tumko bhi sab jala hua dikhayi deta hai,

koi ja kar ke chaand se kuch roshni laaye,
har chiraag yahan bujha hua dikhayi deta hai,

kis tarah se mile humko unki khabar aur suraag,
woh ke jinke aankhon mi­en darr dikhayi deta hai,

chalo aaj ussi se jakar kar le dil ki baat hum-tum,
woh door mujh ko ek sitara dikhayi deta hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts