dekhte rah gaye yunhi hum chand ko kaal raat

baithe the yunhi hum kal raat,
soch mein the tum humare kaal raat,

khudh se baat karte the tumhe soch kar,
jee ko behlate the tumhe soch kar,

yunhi sochte sochte,
yunhi mehsoos karte karte,

andheri aashman pe nazar pardi,
ek chadar thi jaise sitaron se bhari,

ghira hua tha sitaron ne chand ko kuch iss tarha,
bahon mein lipta ho chand ne sitaron ko jis tarha,

achanak kuch badalon ne chand ko diya chupa,
lagta tha ek lamhein ko yun sitaron ko diya ho rula,

ho gayi thi aur kaali woh raat,
lagti thi na guzaregi ab woh raat,

dekhete 
dekhete sochte sochte,
chand ne yun gardan apni nikali,
sitaron mein kudrat ne phir se thi jaan dali,

ussi lamhein ek pal ko hum bhi ruk se gaye,
dekh ke woh manzir hum bhi ruk se gaye,

surat tumhari nazar aayi chand mein kaal raat,
dekhte rah gaye yunhi hum chand ko kaal raat.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts