yeh mera aakhri salaam..

paali khushiyan tune mera dil jala kar,
bol kya tu jee sakegi mujhe bhula kar?

tu khush reh har pal,
teri khushion ke liye mujhe gham se bhi pyaar hai
bata ek pal ke liye bhi kya tujhe mera intezaar hai?

apna ujjda ashiyana..
iss baat ka mujhe gila nahi,
main kya gila karun,
tujhe dusra koi mila nahi,

meri barbaadiyon par tune,
lakhon khushiyan manayi,
bata zindagi mein phir,
tu kitni muskurayi?

tu khush rehna sadaa.. yeh meri dua hai,
teri har khushi ke peeche meri hi sadaa hai,

kar gayi tu mujhse bewafai yeh mera naseeb hai,
magar khush rakhna tu usse jo tere dil ke kareeb hai,

yeh mera mukkaddar nahi ki,
paa sakoon mein zamaane se mohabbat,
khatam hogayi aaj duniya ko meri zaroorat,

aaj main jaa raha hoon duniya se,
mohabbat ko zindagi dene ke liye,
bujha raha hoon main apna chiraag,
zamaane ko roshni dene ke liye.

na samjh tha main ki har ek se aitbaar kiya,
jisne bhi mujhse muskuraake baatein ki usse pyaar kiya,

ab jaa raha hoon main duniya se haath chord kar,
arzoo hai yaad karna tum humein kabhi bhool kar,

khushiyan mubarak ho tumhein,
apna to yahi paigaam hai,


tumko aur saare zamaane ko,
yeh mera aakhri salaam hai..

maine bhi muskuraana seekh liya

ab shayad milan nahi likha hai takdeer mein mere,
isliye maine bhi ab judaai se gale lagakar iske saath jeena seekh liya,

kehti thi jo apna mujhe,
aaj mujhe ussi ne beagaana bana diya,
isliye maine bhi ab rishto se dil na lagaana seekh liya.

sab dhoka hai yahan,
iss duniya mein sab dikhaawa hai,
ek dhoke se jab dil na bhara mera,
maine bhi dhoke khaana seekh liya.

bahut naaz tha mujhe uski chahaton par,
uska zikar har mehfil mein karta tha main,
jab se diye hain zakham usne apni mohabbat ke,
maine bhi muskuraana seekh liya.

aise na the hum

aise na the hum,
jaise ki humari ruswaai logon ne,
kuch tumne badnaam kiya,
kuch aag lagayi logon ne..

ho sakta hai tumne jo dekha ho,
woh nazron ka dhoka ho,
ek jara si baat pe,
kya kya baat banaayi logon ne..

thokar mein iss ko liye,
tordkar tum bhi chale gaye,
tumko kya khabar ke,
shehar mein diwali manaayi logon ne,

ishq pe aafat kya hai na poocho
zakham tumhaare haath ke hain,
dukh humein iss baat ka hai,
aur yeh kayamat saath tumhare,
mil ke uthaayi logon ne..

dil zakhmo se choor hai aankhon mein paani hai

ubharte dard ki bas yahi kahaani hai,
dil zakhmo se choor hai,
aankhon mein meri paani hai,

kaise chord de saath dard ka ab jaanasheen,
jab dard ko saath dene ki baat maut tak thaani hai,

ab bas dard ko apna banaana hai aur koi chaara nahi,
ab dard ke naam dekho apni dard bhari jawaani hai.

meri zindagi ka peecha kar rahi tanhaai hai

hawa ghamon ki chayi hai,
aapne saath kayi dukh laayi hai,

mehfil mein kaise baithe hum dil thaam kar,
meri zindagi ka peecha kar rahi tanhaai hai,

har taraf hai roshni, ghar mein mere charaag nahi,
jaane kyun kismat ne humpar yeh kaher barsaayi hai.

kitne saal aaye aur gujar gaye

bhule bisre khawabo ko kuraidte rahe
tumhari yaad mein lamha dar lamha tardapte rahe,
ek ek din ko ungliyon ke poro mein ginte rahe,


kitna zalim tha yeh saal....
hamare bebasi pe woh hasste rahe,
gum tanhai mein hum sab se bichardte rahe.

yun hi raat aati rahi, yun hi din gujarte rahe,
ek muddat tak inn aankho se tum ko taraste rahe,
apni chahat ke paymane ko tum se bharte rahe...


kaano mein ek sada pari naya saal aagaya,
mujh ko aisa laga jaise mera yaar aagaya,

yun saalo ke aane se koi milta nahi,
takdir ka likha kabhi milta nahi,

tumhare baad kitne saal aaye aur gujar gaye,
intezaar karte karte hum ek umar mein dhal gaye,

maine har nayi saal se tumhara pata pucha,
ek lamba intezaar karwa kar woh bhi gujar gaye,

humko to har mousam jaisa lagta hai,
tumhare baad dil ka mousam veeran sa lagta hai,

dil ke abaad basti ujhard si gayi,
ab bhi tumhara aana bahar sa lagta hai,
har saal ke tarah yeh sal bhi,
gujar jayega apni yaadein de kar.

hum is tara manate rah gaye,
tumhare judaai ke saal,

ek bar laut kar to aa phir puchna humse,
kis tarah manate hain hum bewafai ka saal.

dard ghum aur tanhaai

dard kare kaise bayaan,
dardmand hai jab apni dastaan,

sunaane se pehle hi aankhein bhar aati hain,
dard ghum aur tanhaai de jaati hain,

badnaseeb nikla main jo pyaar na paa saka,
paas hote huye bhi unke kareeb na aa saka,

shayad na thi naseeb mein chahat apni,
apno ko bhi na thi zaroorat apni,

aise gham ka maara hoon main,
jeet kar bhi unhein haara hoon main,

kaise kahun ki kisi ke jeene ka sahaara tha main,
andhera jiska saath na chorde,
aise ek sitaara hoon main,

dil ne chaha ki likhde gham-e-dil ek naye andaaz mein,
mil jaaye koi humraaz tujhe apne humraaj mein.

mujhe bhool jaao tum

mujhe bhool jaao tum ab yehi khuda ki marzi hai,
wafa na kar sake to dosti ka pyar kafi hai,

ek pal mein bichard jaane se accha doori manjur hai,
is dil ke khel mein roz roz marne se ek pal ki judaai kafi hai,

aur nahi aayenge hum aapke raahon mein yeh dard hi kafi hai,
dil hi dil mein roye aur dard-e-tannhai iss dil mein kafi hai,

mujhe bhool jaao tum ab yeh kudrat ki marzi hai,
meri maut ke baad meri yaadein na sataye tumhein yeh ehsaas kafi hai.

aakhiri khawaish

ab bina gum ke zindagi ka guzara nahi hota,
ek khushi ke kareeb jaane se dar lagta hai,

aisi aadat huyi hai dil ko ab tannhai ki,
mehfil mein baat sunane se dar lagta hai,

sehmi aankhon mein neend sammet lene do,
inmein sukoon samaane se dar lagta hai,

dhokha khane ka yeh dil hai iss kadar kayal,
ek wada bhi nibhaane se ab dar lagta hai,

mujhe nafrat bhari aandhi ki jarurat doston,
mohabbat ko ab apnane se dar lagta hai.

koi taiyar karo saaz-o-saaman meri  arthi ka,
ab ye jehmat bhi utane se dar lagta hai.

aakhiri khawaish yahi ki dhardkane yeh tham jaye,
ab to saans liye jane se bhi dar lagta hai.

jeene ke liye yahi kaafi hai

woh bewafaa ho gayi iska koi gam nahi,
unhone chaha tha kabhi humein,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

aaj door hai nigahon se kisi aur ke aagosh mein,
unhone thama tha mera bhi haath kabhi,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

woh mukar gayi apne kiye har waade se koi gila nahi,
unhone pochein tha mere aankho se aanshu kabhi,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

khush hai aaj woh barbaad karke hamein koi gam nahi,
tardpe the kabhi woh bhi intezaar mein mere liye,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

aaj baras raha ho saawan aur,
dil mein kyu na mere pyaas ho,
woh bhi tannha thi kabhi bin mere,
jeene k liye yahi kaafi hai.

door jaane ka waqt hai aaya

aaj dosto se juda ho raha hoon,
jaane kyu itna udaas ho raha hoon,
kal ka suraj hoga tumhare saath,
humein na paaoge tum aapne saath.

aaj dosto se juda ho raha hoon,
kuch baatein tumse kahne aaya hoon,
kuch na kahe paun mein aaj ki raat,
humein na dekhoge tum aapne saath.

humara chehra na ab tum dekh paoogi,
sab ke nazaro se door ho jaaunga,
dil mein aapne yaadein chord jaauga,
sab ko aapne dil mein chhupa jaauga.

aaj dosto se juda ho raha hoon,
yaadon ki tasveer le jaa raha hoon,
dard akele dil mein sah raha hoon,
beetein lamhein liye jaa raha hoon.

aaj main sab se juda ho raha hoon,
phir tumse bichardne ka waqt aaya,
door jaane ka waqt paas aaya,
maut ne humein jeena sikhaya,
dard mein bhi sahana sikhaya


hum akele the akele hi reh jaate hain

dil ka dard kise dikhaaye,
marham lagane wale hi zakhm de jaate hain,

bhari duniya mein hum tera pyaar le aaye,
tumne to thukrah kar chale aaye,

paas aakar sabhi door chale jaate hain,
hum akele the akele hi reh jaate hain,

pehle yakeen dilate hain ki woh hamare hain,
phir na jaane kyu badal jaate hain,

badalte duniya se hum kya mange,
bas zindagi ka har kayenaat,
tum par kurban karte hain.

bahut tannha hoon main

kaash khawabon mein hi aa jaao bahut tannha hoon main,
ya mere zehan se yaadon ke diye bhuja jaao tum,

mere ehsaas ki duniya ko mitta do hamdam
raat taare nahi.. angaare liye aati hai,

in baraste huye sholon ko bujha do hamdam,
dil ki dhardkan ko sula jaao bahaut tannha hoon main,

andheri raat mein jab chaand khilne lagte hain,
tumhaare pyaar ke deepak jalaa ke rota hoon main,

tumhaare aane ki jab aas jaane lagi hai,
main in chiraaghon ko khud hi bujha ke rota hoon main,

zindagi aisi mitta jaao bahut tannha hoon main,
sochte sochte jab soch bhi mar jaati hai,

waqt ke kadmon ki aahat ko suna karta hoon main,
ashk thamte hain to aankhon mein dhuwa uthta hai,

raat bhar yunhi tarapta hoon, jala karta hoon main,
dard- e- gham kuch to ghatta jaao bahut tannha hoon main.

ab hum bas zakhmo ko seete hain

unki hi ek adda thi yeh, jisne iss dil ko dhardkaya,
woh ruth gaye jis pal mujhse, har pal ne dil ko tardpaya.

unke liye bas ek khel tha yeh, har kali magar jhukne si lagi,
woh kya ruthe ek pal mujhse, bas sans meri rukne si lagi.

koi jakar unse yeh kahe, koi jakar yeh batlaye,
unke dum se hi meri duniya thi, koi unko yeh samjhaye.

unse hi humne hassna seekha, unse hi to dil mein rangat tha,
unse hi hai jana pyar hai kya, kya wafa huyi kya ulfat hai.

agar tanha hi rakhna tha hamein, kyu iss dil mein yun aas bhari,
kyu sapne saare dikhlaye, kyu kar di duniya hari bhari.

ab tanhai hai, ashq bhi hai, hum bas zakhmo ko seete hai,
woh aayenge iss aas mein hi, hum saansein lete jeete hai.

na sathi hai na hai koi saaya

mohabbat ki hakikat ko samajh mein kyu nahi paya,
jab samjha to yahi samjha.. na sathi hai na hai koi saaya,

meri deewangi ka ab to aalam yeh hua dekho,
khud ko kho ke bhi dekha, bewafa phir bhi kehlaya,

woh mujhse ruthi baithi hai, na ab apna samajhti hai,
nahi samjha saka usko, jo apna dil bhi chir ker dikhlaya,

woh kya ilzaam ab degi, khuda ka kehar dekha hai,
duniya ke aashique mein mera bhi naam hai aaya,

jo yeh anzaam-e-ulfat hai, tauba hum to karte hain,
khudaya kyu bhala tune, gunah yeh humse karwaya?

mohabbat ki hakikat ko, samajh mein kyun nahi paya,
jab samjha to yahi samjha, na sathi hai na hai koi saaya.

tum se juda hue the hum jis mord par

december ka ehsaas in sard hawaon mein hai,
mere aanshuon ki garmi phir in fizaon mein hai,

yaad hai mujhe woh baraste barish ki raatein,
kitni kasak un yaadon ki sadaon mein hai,

kuch nahi badla, bas mausam badlate rahe,
ab bhi tera intezaar basa, meri wafaon mein hai,

adhuri mohabbat hai meri tere bagair yahaan,
na jism mein jaan, na shokhi in adaon mein hai,

tum se juda hue the hum jis mord par kabhi,
uth-te mere haath aaj bhi wahi duaon mein hai.

seene mein hai dard bahut

seene me hai dard aur dhadkan ruk rahi hai,
yeh aankhein nam hoke nirasha se jhuk rahi hai,

na jane mohabbat yeh kaisi dard de rahi hai,
kal khusi aur aaj aankho mein nami de rahi hai,

itne kareeb aake bhi woh mujhse door chale gaye,
aaj bhi unke khusi ke liye iss dilse dua nikal rahi hai.

baate uski aaj kanto ki tarha chubh rahi hai,
zindagi mein aaj mujhe tanhai mehsus ho rahi hai,

khusi aake choukat pe ab wapas laut rahi hai,
khusi bhari zindagi meri dhime se simat rahi hai.

kitna kuch diya hai teri bewafai ne

teri wafa mili hoti to sirf wafa mili hoti,
intezaar... zakhm... aanshu... tanhai...
kitna kuch diya hai teri bewafai ne.

tum mil gaye hote to sirf tum mile hote,
veeranapan... andhera... tuta hua ek dil...
kitna kuch diya hai teri judaai ne.

tumse agar guftugu hoti to sirf guftugu hoti,
naam... shorat... izzat... mehfil-e-gam...
bakshi hain meri dard bhari shayari ne.

murde parde jazbaat ko aakhir jagaye kaun

roothe huye ho khud se ya humse se ya zamane se,
pehle yeh faisla karo tumko manaye kaun,

aashu hai, dard hai har taraf, tannhai hai,
teri mehfil tujhe mubarak, aisi mehfil mein aaye kaun,

soya hua ho dil to jagana bhi ho mumkin,
murde parde jazbaat ko aakhir jagaye kaun,

har waqt mitha bole, woh khubiyan hai kisme,
kabhi mitha, kabhi kadwa ab unko samjaye kaun.

woh dard ki dukan, woh dard bechte hain

woh dard ki dukan,
woh dard bechte hain,
humko khushi se pyar,
hum unke dard khareedte hain.

woh aashuo se bhari aakhe,
woh har baat pe unka ro dena,
meri fitrat muskarana,
kyu hum bhi sath unke rote hain?

itna mehsoos kiya hai unke ehsaaso ko,
ke ab yeh aalam hai,
bewajah hum bhi tardap jate hain,
jab yaadein unki dard dete hain

unki tanhai bhi mujh mein utar aayi hai,
mehfilo mein rehkar bhi hum akayle rehte hain,
unki tarah main bhi bikhar gaya hoon shayed,
kuch na kuch mein unka ban gaya hoon shayed,

unko apni khushi mein shareek to na kar sake,
unke jaisa main bhi ban gaya hoon  shayed.

kuch to baat hai teri bewafai mein

kuch to baat hai teri bewafai mein,
har lamha tujhe yaad karta hai ye dil,

kuch to baat hai teri berukhi mein,
khamosh har sitam sehta hai ye dil,

kuch to baat hai teri khamoshi mein,
har baddua teri sun leta hai ye dil,

kuch to baat hai teri shikayat mein,
har ilzaam tera kabul karta hai ye dil,

kuch to baat hain teri nafrat mein,
bohat chahta hai tujhe mera dil.

gazalein meri karti hai mujhse wafadari

ho jane de bezubaan raaj ko,
karne de mujh ko shayri,
mujhe guftugu ka salika nahi pata,
mujhe sune gaur se duniya sari,

dosti ho kisi se aisa mera kirdar nahi,
magar mere shero se hain sabko yari,
kasam khayi thi tumse ab na bolege,
ijaazat do bas itni likhu tumpe ghazal,
aur kasam bhi na tute hamari.

jo milta hai kar ke chhalli chala jata hai,
kuch aisi hai ab kismat hamari,
shukr hai likhne ka hunar hai mujh mein,
chaahe hazaro ho burayi ,
gazalein meri karti hai mujhse wafadari.

ek shayer ko pagal na kaho doston

ek shayer ko pagal na kaho doston,
uski halat pe na tum hasso doston,

jab gum mein tum bhi dub jaoge,
jab apni hi zindagi se tum ghab-raoge,

apne paraye tumko jab dege daga,
jab apni mohabbat banegi bewafa,

jab aakho se aashu behne lagege,
log tumko bhi pagal kehne lagege,

uss din meri baatein tujko yaad aayegi,
har aah teri shaayri nazar aayegi...


kabhi tujhse jo mil sake to batayenge

kabhi tujhse jo mil sake to jaan-e-jaana,
to tujhe batayenge yeh ghum jaana,
tujhe kitna chahte hain ab tak,
tujhe yaad karte hain ab talak,

tujhe dil mein basa ke tamaam pal,
kisi aankh mein na samaa sake,
kisi ek raat ko na soo sake,
kisi ek khushi ko na paa sake,
kisi ek hassi ko taras gaye.

kabhi tujse jo mil sake to jaan-e-jaana,
tere naksh-e-wafa ki jo murat thi,
usse apni aankhon mein sama ke hum,
hazaaro dariya bahate gaye,

koi chehra hum na samajh sake,
kisi chehre ko hum na lubha sake,
kabhi tujse jo mil sake to jaan-e-jaana,
to tujhe batayenge yeh ghum jaana,
kabhi tujhse jo mil sake to batayenge...


in sard andheri raaton mein

in sard andheri raaton mein,
sab sardken jab sunsaan si hon,

sab apne ghar ko laut chuke,
kuch jaag rahe kuch so chuke,

kuch naram khwaabon mein kho chuke,
woh tannha apni soch mein gum,

un sarkon pe yun phirta hai,
kuch khoj mein shayad rehta hai,

woh neend se kosoon door talak,
bas chalta hai or chalte rahta hai,

jab thakta hai or girta hai,
tab yaad ke saare surkh zakham,

sapno ki soorat mein aate hain,
do aankhon ko dhundlate hain,

in sard andheri raaton mein,
tab yaad bohat tum aate ho,
tab yaad bohat tum aate ho.

adhura to nahi par akela to hoon

kaise chaloon manzil ki taraf,
sab kuch to yahan bikhra parda hai,

itna aasaan nahi hota apno ko bhool jana,
mera to yahan har rishta bikhra parda hai,

kis baat par aaye sukoon, koi baat aisi nahi,
mujh ko iss jagah par har insaan jakda parda hai,

itna aasaan nahi phenk dena yaadon ko,
jis par ki humara praan bhi chipka parda hai,

adhura to nahi par akela to hoon,
jane kahan hai khuda, kahan kahan khuda parda hai,

bator loon kaise, khud aa kar dekh lo,
jissm ka katra yahan wahan har tukra parda hai,

socha tha ki milegi woh jab jaonga shahar waapis
pahonch gaya to dekha ki har shaks ukhra parda hai..

aadat yeh kab badalti hai

musafir to bicharte hain,
kismat kab badalti hai,
mohabbat zinda rehti hai,
mohabbat kab badalti hai.

tumhi ko chahte hain hum,
tumhi se pyar karte hain,
yehi barson se aadat hai,
to aadat kab badalti hai.

kalli ka phool banna aur
bikhar jana mukaddar hai,
yehi kanoon-e-fitrat hai,
to fitrat kab badalti hai.

jo dil pe naksh kar jaye
aur aankhon mein simat aaye,
aadat hai ye chahat ki,
to chahat kab badalti hai.

badal jate hain mausam,
phool mein khushboo nahi rehti,
magar chahat ke phoolon ki
mehakk kab badalti hai.

unhein chaha, unhein khoya,
yehi takdir hai apni,
hamein gumrah mat samjho
ibadat kab badalti hai.

purane zakhm ko raaj
bhula dena hi acha hai,
na chahe aap hi koi
to kismat kab badalti hai.

yeh wafadari ki baatein betuke se hain

kisi ko pyaar karna koi bardi baat nahi,
yaha to roz kayi log pyaar karte hain,
yaha to roz kayi rishte naye bante hain,
yeh ahsaas, shiddat, jazbaat sab baatein hain,

yaha yeh lafz raddi ke bhaw bikate hain,
pyaar kya hai koi sikhe to hum se sikhe,

pyaar jismo ki chahat ke siwa kuch bhi nahi,
chand roz ki lagawat ke siwa kuch bhi nahi,

yeh wafadari ki baatein betuke se hain,
pyaar dil tord ke khush rahne ke siwa kuch bhi nahi,

nayi duniya hai yeh, dost jara tu bhi badal,
pyaar to badal gaya hai, jara ghar se bahar nikal,

yaha ab dil se khelne mein logo ko maza aata hai,
yaha to naam-e-wafa dil hi ko behlata hai,

mazze uske hain jo iss lafz ko dohrata hai,
kisi ko kuch kisi ko or kuch samjhata hai,

naye panchhi ko pakdne ka hunar aata hai,
unki mohobbat ki sab baatein hi jhooti thi,
kisi ko pyaar karna ab koi bardi baat nahi,

tu to kehti thi ki hum dil ek baar lagte hain,
jis se lagta hai ussi se wafa nibhate hain,
jaan bhi uske liye dena ho to bardi baat nahi,
pyaar se bardh ke duniya mein koi sogat nahi,

wo banai huyi ek bhagwan ki murat hai,
pyaar gar na ho to phir uska naam taj nahi,
pyaar ka rishta kisi rishte ka mohtaaz nahi,
pyaar wo shay hai jisse koi bhi anjaan nahi,

aaj ke dor mein wo saari baatein hi jhooti hain,
iss badal ti huyi duniya main sirf lafz hain yeh,
kisi ko jeetne ko, dabane wali nabj hai yeh,
aaj har or naam mohobbat ka liya jaata hai,
aard mein iski kuch or hi kiya jaata hai.

gaye din jab mohobbat bandgi thi

bardi sehmi huyi si ye fizza hai,
yaha tanhai bhi gum se bhari hai,

bardi shiddat se isko katata hoon,
mohabbat naam ki ye jo sazza hai,

sukun mujh ko kabhi milta na shayad,
magar ab dard dil ke darmiyan hai,

mera hona bhi ab to bewajah hai,
jiye jana bhi jaise ek sazza hai,

mere bachpan ke din bhi bewafa the,
jinhein ab tak mera dil dhundhta hai,

kisi ki yaad mein roye bahut hain,
teri aankho ka kazal bolta hai

na jaane kaun si manzil hai yaaron,
yaha se rasta hi rasta hai,

dilo pe dhund si ek chha gayi hai,
kahi dhundhla sa ek chehara bacha hai,

khud apne shehar meinmain ajnabi hoon,
tumhara dard hi ab mujhko aashan hai,

pata mera koi dhundega kaise,
meri kismat mein tannha rasta hai,

gaye din jab mohobbat bandgi thi,
ab to mahez ek mazzak hai


bharte nahi hain zakham humare kisi bhi tarha se

khayalon mein main unse aksar kehta tha,
meri bas itni khawaish hai,
main kuch aisa pehchana jau,
zindagi bhar pyaar ke naam se jana jau,

iss paar bhi dekha uss paar bhi dekha,
mohabbat kahi bhi nahi,
duniya ko azma ke bhi dekha,

karte hain nafrat jaha bhar ke log,
tere sheher ke un sunsaan rashton mein aa ke bhi dekha,

mohabbat ke andhere mein sab jakde huye hain log,
nazar ke diyo ko humne jalakar bhi dekha,

samjha nahi koi bhi humari dard ki siddat ko,
har ek ko haal-e-dil sunake bhi dekha,

bharte nahi hain zakham humare kisi bhi tarha se,
apni aankhon ka har aanshu humne gira ke bhi dekha,

kharida nahi hum ko kisi ne bhi neelami mein,
khud ko saare bazaar pesh kara ke bhi dekha,

bulate nahi ho tum humein zindagi ke safar mein,
dar-badar kai baar hum ne tum ko bula ke bhi dekha,

aata nahi hai wapas kabhi beeta hua zamana,
lamho ke dor ko wapas ghuma ke bhi dekha,

aate nahi ho kabhi bhi humare khwabon mein,
aankhon ki nagri mein tere aa ke bhi dekha,

bhula nahi pate hain tujh ko kisi bhi tarah se,
aap ne to humein rula ke bhi dekha,

chordti nahi hain peecha, teri bhatakti huyi yaadein,
tere iss purane sheher ko chord ke bhi dekha,

kaash wo ruk jati ek pal ke liye,
waise mohabbat ka wasta usko de ke bhi dekha,

aaj tak unke baad hum ne kisi aur ki tamanna nahi ki,
aur unhone to kisi aur ka ho ke bhi dekha.

jo beeti hai usse bhulane mein kuch waqt lagega

jo beeti hai usse bhulane mein kuch waqt lagega,
aapke diye zakhamo ko ek yaad banane mein kuch waqt lagega,

neend to aane ko thi lekin dil peechli yaad le baitha,
ab khud ko bewaqt sulane mein kuch waqt lagega,

uska na hona ab meri tanhai bardha deta hai,
par ye baat usko samjhane mein kuch waqt lagega,

aakhir humein bhi ek din ghar jana hai,
lekin itni door se aane mein kuch waqt lagega,

itni uljhi hai meri mohabbat ki kahani,
isse mitane mein kuch waqt lagega.

bichadne wale meri baatein kabhi tumhein rulaye to laut aana

udaas shamein, udaas raste kabhi bulaye to laut aana,
kisi ki aankhon mein suraj ki kirne nazar aaye to laut aana,

abhi naye wadiyon, naye manzaron mein reh lo magar meri jaan,
ye sare ek ek kar ke jab tum ko chord jaye to laut aana,

jo shaam dhalte hi apni apni panah gharon ko laute hain,
agar wo panchi koi dastaan sunaye to laut aana,

main roz yun hi hawa par likh likh kar uski yaadein,
acche mausam agar pahado pe muskuraye to laut aana,

agar andheron mein chord kar tum ko bhool gaye tumhare saathi,
aur apni apni khatir hi diye jalayein to laut aana,

meri wo tujh se pyar ki baatein jin par tu khil-khilakar hasti thi,
bichadne wale, meri wo baatein kabhi rulaye to laut aana.


pata hai pyar kar ke kya mila

pata hai pyar kar ke kya mila,
ajeeb rishta raha kuch aapno se mera,
na nafrat ki wajah mili na mohabbat ka sila.

woh log jo dil ke kareeb the

woh log jo dil ke kareeb the,
wahi log to be-imaan huye,
jo mohabbaton ke chukidaar the,
wohi log to bewafa huye.

yeh kayamatein bhi ajeeb hain,
kisi pal bhi mujko sakoon nahi,
woh kayamatein kya haseen thi,
jo kayamatein mujhse jurdi huyi.

jinhein khud pe itna yakeen tha,
jinhein khud pe kya kya gumaan tha,
wohi khud se aise juda huye,
unhein khud bhi apni khabar nahi.

abhi mauj-e-junoon hai thodi si thami huyi,
abhi aag bhi hai kuch sard bujhi huyi,
jo bhadak uthegi yeh phir kahi,
to sakoon na paoge phir kabhi.

because I hate myself for loving you

I will not make the same mistakes now,
I know that feelings are nothing but fake,
you caused me the most painful heartbreak,
and I hate myself for loving you..

I can't sleep and I can't hang on anymore,
I have locked up all my hearts door,
I am not gonna love again and it's for sure,
and I hate myself for loving you..

I am torn into pieces and I can't deny,
but she cant see the tears that I cry,
why did I ever fall for you.. tell me why?
and I hate myself for loving you..

you washed away the best of me,
its like who am I? I am  just not me.
its like the world has come to an end,
its like in front of others I have to pretend.

its like I am ashamed of my life because its empty,
its like I hate you because you make me feel so guilty.

I want a person besides me not a girl who runs and hides,
your tears are like acid rain that just turn into lies,
and you are my past now.. girl don't be surprised!
because I hate myself for loving you...


mere gham mein meri takdeer nazar aati hai

sacha hoon main mere saamne aakar dekho,
khud nazar aaogye jo aankh mila ker dekho.

mere gham mein meri takdeer nazar aati hai,
dagmaga jaoge mera dard utha ker dekho.

yun to aasaan nazar aata hai manzil ka safar,
kitna mushkil hai meri raah se chal ker dekho.

muskaan chehare par meri  hai nazron ka dhoka,
kin andheroon mein bhatakta hoon main aaker dekho.

dil tumhara hai main ye jaan bhi de doon tum per,
bas mera saath zara dil se nibha ker dekho.

mout kareeb hai magar tum se waada hai mera,
laut aaounga main, tum ek baar bula ker dekho.


umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri

toote hoye khawabon mein hakikat dhundta hoon,
pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon,

naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahi samjha,
be-jaan logo mein insaaniyat dhundta hoon,

mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahi,
beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon,

iss ajnabi duniya mein koi bhi apna nahi,
gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon,

umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri,
girte huye ashkon mein apni hasrat dhundta hoon.

aaj bhi beet gaya yuh hi kal ke vaste

aaj bhi beet gaya yuh hi kal ke vaste,
zindagi chalti rahi ek adhuri ghazal ke vaste.

hum rahe intezaar mein kab zindagi gale lagaye,
aur zindagi baithi rahi meri pehal ke vaste.

meri zindagi tere mehak se kuch aur der gulzaar rahti,
jo baithe rahte khamosh yuh hi kuch aur pal ke vaste.

uska ehsaan kaise bhul paygi tu,
barbaad ho gaya jo tere khusi ke vaste.

saath do kadam ka bhi tune diya nahi

pahele tu hai, dard hai, shikwe hazaar hain,
abb iss se jyada mere iss dil mein jaga nahi,

main khud hi teri raah se anjan ho gaya,
ha sun liya tha maine jo tune kaha nahi,

tu khud hi apni baat par sharminda ho gayi,
teri jafa ka maine to shikwa kiya nahi,

tha naaz mujhko jo tere humraah hone ka,
par saath do kadam ka bhi tune diya nahi.

khokla sa mera yeh mann hai

naa dil hai, naa dhardkan hai,
bas khokla sa mera yeh mann hai,

naa khushi ki koi jhalak,
naa woh sharmayi huyi si palak,

naa woh pyaar bhari aankhon ki bhanak,
naa teri woh dheemi dheemi si mehak,

gayi ho jab se tum,
mere is jeevan se baahar,

suna suna lag raha hai,
mera yeh dil kaa aangan,

veeranapan chaya hai har jagah,
mere dil aur jigar mein,

lagta hain aise ki main,
aa gaya hoon ek anjaan shahar mein,

jaantha nahi kya karoon,
maanta nahi mera dil kahi,

adhoori si yeh zindagi meri tumhare bina,
lagta hai jaise aaj shuru huyi,
aur anth bhi aaj hi huyi.

kyun khawab adhure rehte hain

hum aksar sab se kehte  hain,
kyun khawab adhure rehte hain,

kyun yaad kisi ki aati hai,
kyun dard jigar mein hota hai,

kyun aksar ankh ki palko mein,
ek jalan sa bana rahta hai,

kyun kadam lardkharate hain,
hum jab bhi chalne lagte hain,

kyun palkein num ho jati hai,
hum jab bhi hassne lagte hain,

aksar raat ki andhere mein,
yaadon ka zehar ugalti hai,

kyun virha ka mousam aata hai,
jab ussi ki baatein hoti hain,

kyun log deewane hote hain,
kyun dard hazaoron sehte hain,

hum aksar sab se kehte hain,
kyun khawab adhure rehte hain..?






humse bichard kar jee lene se kya saabit tum kar paaoge?

iss lambi pehchaan se kuch bhi hua haasil nahi,
tum mein woh dard jagaa paayein,
shayad hum mein hi woh baat nahi.

ab bas ek udaasi hai,
jo tum kabhi na samajh paao,
par tum khush rehkar bhi dekh lo,
gar yaadon ko mita paao.

apni aankhein mund lene se,
ehsaason ko na mita paaoge,
humse bichard kar jee lene se,
phir kya saabit tum kar paaoge?

bas ab ek vishwaas hai,
muh mord kar gar main chala jaau,
tardpoge to tum bhi phir,
bayaan mijhse bhi na kar paaoge.

pyaar sammetna seekh lo,
to pyaar lutana bhi jaan jaaoge,
par ab na jaane kahan sammetoge,
aur na jaane kahan lutaoge.

jo mere pyaar ki kadr na kar sako,
to iska gila sirf mujhe rahega,
jis din keemat jaanoge,
sirf tardpoge aur pachtaoge...


life goes on

finally a few moments for myself,
I made myself a cup of coffee,

turned on some soulful music,
sat on the leather couch,

and took a sip from the cup,
as it went down the throat.

I felt a bit relaxed,
and laid back on the couch,

and reflected on the times,
from the very low to the very high,

and right down once again,
only to rise again.

life had taken a full circle,
in the last one year of my life,

I have grown more then I did,
in the last 34 years of my life,

faced with new challenges,
standing at a crossroad,

I wonder what will it be next,
I only smile at myself,

for all I can say right now is,
life it goes on....!!

try to be different stick out from the rest

I am tired of everything being the same,
one more life another pointless game.


I am tired of looking at the knife,
hoping to die ending this meaningless life.


I am tired of looking for someone to hold,
when there’s no one there so 
I am left in the cold.


I am wanting to end this life I lead,
but instead I stay while in my dreams I fled.

I wish I could just up and die,
no one would care I was only to cry.

I wish I could help everyone,
but instead I can't their led to the gun.

I want to be the hero and save the day,
instead I have saved zero more lives to pay.

I don’t want you to hurt everyone out there,
just know that I am here and will forever care.

for I have been hurt countless times before,
and yet it just comes back always haunting me for more.

I don’t want you to suffer and hurt like I did,
for there’s to much pain I refuse to die as a kid.

and I hope you do the same because life has much to give,
it would be a shame if you decided not to live.

so the message to this poem is to always try your best,
and try to be different stick out from the rest.

cause you are strong and some day you will see,
that you can belong just as it came to me.

importance of breathing space in any relationship

I always thought I was good at handling relationships,
as each relationship I made was close to my heart.

love obviously was there,
care I did and understanding,
I tried to maintain.


were these the only requisites?
no there is more to it...

relationships I had heard,
go deeper and deeper with time,
but the more I was getting in,
the more I felt uneasy.

I don’t know why but I wasn’t feeling good,
just wanted to break free of all of them.

could not understand the reason,
gradually I realized that it was the lack of space.

lack of breathing space space where I was myself,
at times, to keep the other person in the relationship happy.

I did things which I didn’t want to,
more and more it happened as the relation grew,

this was wrong as I had to be dishonest to myself,
I thought, this is the way to keep things going.

but it wasn’t more it happened, more it suffocated me,
more I felt the lack of space,
just didn’t have enough air to breathe.

I heard, saw and spoke what others wanted me to,
I was losing my identity, I was losing myself,

all of a sudden, the world looked so confined,
someone told me that “with every new relation,

you have to be extra careful,
not to let it affect the older ones”


these words seem so true,
and this is where I erred.

whenever a new relation developed,
I had lesser time for some of the older ones,

or some other time.. for somebody’s happiness,
I had to be distant from somebody else,

everything became so messy,
it’s really not easy to maintain them,

today, I realize the importance of breathing space in any relationship,
how important it is to let the person be himself/herself….

may it be your relation with your spouse,
your siblings, your parents or your love,
maintaining the right balance is important.


its easy to jump at conclusions,
but difficult to imagine ourselves at that place.

there’s always a new morning,
as before, life brings a new relation everyday,
and they get close too.

but I don’t feel uneasy any more,
I have learned to maintain my self respect,
and at the same time maintain the space,


and as long as these are there,
the journey together will be good.

All Time's Favourite Posts