yun raaj ki ek ghazal banaa karti hai

har dil mein ek kasak utthaa karti hai,
har kasak ek raaz kaha karti hai,
banaa sakta nahin har koi taaj mahal varna,
har dil mein ek mumtaaz basa karti hai,

aankhon mein asar hai ke nahi.. jaan-ta nahi,
aah lekin mere moonh se niklaa karti hai,
roz kehta hoon dil se, aayenge aaj woh,
teri umeed mujhse roz dhokha kara karti hai,

mere kapado ko dekh kar tu jaan jaayegi,
ke meri aankh tujhko yaad kiya karti hai,
main khada hoon dar pe khuda ke be-umeed ho kar,
aur zindagi tujhse milne ki duaa kiya karti hai,

ashk jab tapakte hain yaadoon ke kaagaz par,
yun raaj ki ek ghazal banaa karti hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts