tujh se ek sawaal hai mera

tujh se ek sawaal hai mera,
kyu banaya aisa haal mera,
kyu ki maine tujh se mohobbat,
pyaar ki jagah mili hameshaa nafrat,

afsaana meri mohabbat ka,
yaad kar ke dil rota hai,
teri judaai se chain nahi milta aur,
tere kareeb aana soch kar dil ghabraata hai,

teri judaai me na din ki khabar hai,
na raat ka pataa hai,
tujhe chahkar na bhoola sake,
bas itni si khata hai,

teri bewafai ne mera woh haal bana diya,
gulshan tha jo dil mera usse shamsaan banaa diya,
karte hain taubaa na karenge kabhi mohabbat,
lekin na bhoolenge tujhe jab tak na aayegi kayamat.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts