meri mehfil mein aate ho kyun

tanhaai mein mehfilen sajate ho kyun,
khoon ke aanshu rulate ho kyun,

meri her jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

kya soch humse milne aa gaye,
jab jee chaha rula gaye,
humse dil lagaya tha aapne,
koi aur mila to humein bhula gaye.

baar-baar dil pe dastak de mere,
mujhe tum bulate ho kyun,

meri har jhalak agar dard ka sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tere bina aalam hai tanhaai kaa,
waqt hua hai maatam ki sehnaai kaa,
iss duniya se chal diya ghayal,
jo dekh naa payega manjar teri bewafai kaa.

khuda bhi jo dekh dehal jaye,
itna mujhko tardpate ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har saans mein teri khusboo aati hai,
mere jism mein rooh teri samati hai,
fir bhi naa jane kyun tu,
mujhe lamha-lamha tardpati hai.

tez barsaaton me dekh mujhe,
chehra apna chupaate ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har lamha main tere kareeb tha,
tuta dil mera naseeb tha,
kaise bhula doon tujhko,
bas tu hi to mera mohabbat tha.

arthi ko rok kar mere,
ishq ki lahoo se maang apne sajate ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tujhe dekh aaj dard bahut ho raha hai,
dil mera khoon ke aansu roo raha hai,
main raat bhar chillata raha reham ko,
par ab tak ye zamana soo raha hai.

khusboo bankar meri zindaagi ki,
usse gamon ke sagar mein dubote ho kyun?

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

mujhse shikwa hai to, dil mein basate ho kyun,
basa kar dil mein humein, fir bhoolate ho kyun,

meri har jhalak agar dard kaa sabab hain,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts