suno aisa nahi kerna

wafa ruswa nahi kerna,
suno! aisa nahi kerna,
main pehle hi akela hoon,
mujhe tannha nahi kerna,

meri in aankhon ko,
kabhi ruswa nahi kerna,
judaai bhi jo aa jayae,
to dil chota nahi kerna,

bharoosa bhi jaruri hai,
magar sab ka nahi kerna,
mukaddar phir mukadder hai,
kabhi daawa nahi kerna,

jo likha hai jarur hoga
kabhi shikwa nahi kerna.!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts