raah har mord par woh badalte rahe

woh lakeeron ko haaton ki malte rahe,
hum musaafir safar main hi chalte rahe,

beetin pal woh the, unhein to aana na tha,
hum to karwat pe karwat badalte rahe,

mom ke jaise pighla hai dil unke bin,
aur umar ki tarah hum to dhalte rahe,

ban ke toofaan udaaya hai aashiyana,
mere nazdik se jab jab woh nikalte rahe,

manzil aye ishq paane ki ummid me,
raah har mord par woh badalte rahe,

dil-fareb chehara unke aankhon me tha,
aur hum raah pe piche piche chalte rahe,

hausle past unke na hote hain ‘raaj’,
aandhi mein jo diya ban ke jalte rahe..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts