main muskurata raha dard rota raha

ek silsila mere aur dard ke beech hota raha,
dard hadd ki aakhiri hadd tak hota raha,
main muskurata raha, dard rota raha,
dard hadd ki hadd tak hota raha...

baat bhi yeh ajeeb hi hai,
dard ke sar per saylaab si hai,
zindagi se kya maangenge ab hum janaab,
zindagi bhi to gareeb si hai,
issliye mere aur zindagi ke beech ye samjhota raha,
dard hadd ki hadd tak hota raha,
main muskurata raha, dard rota raha,

dard se umr bhar tak aah ka rishta raha,
jaise bimaar koi dawa ka rishta raha,
raaj ki bechaini ka bhi sabab kya tha,
apne hi kaatil ki nigaah ka intezaar raha,
lehrein mujhe bachati rahi,
aur sahil mujhe dubota raha,
dard hadd ki hadd tak hota raha,
main muskurata raha, dard rota raha..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts