ruk jaaye ye pal yahi par,
tham jaaye har gam mera,
koi to thaam le aakar,
nahi raha ab koi mera..
waqt to chalta raha apni raftar se,
aur mera har apna bichard gaya,
dekha tha jo kabhi khwab wo suhana,
waqt k haathon sab kuch bikhar gaya..
kisko doshi thehrayein aur kisse gila karein,
naam le le kar hi uska meri saanse,
ab bhi kyu chala karein..
woh thi bewafaa ya koi majburi thi uski,
annginat hai baaki sawaal abhi,
jinka jawab ab tak mila nahi..
log kehte hain ki wo khush hai,
na usse yaad ab meri aati hai,
par dil-e-bekarar ko,
aitbaar kisi par hota hi nahi..
khushiyon se har naata tord chuke hain,
gam se ab kar li hai dosti maine,
kya karein kise apna kahein,
koi bhi apna to ab raha nahi..
khawaabon me ab bhi dhundate hain jinko,
sach to ye hai unke dil mein,
ab wo pyaar raha hi nahi..!!
tham jaaye har gam mera,
koi to thaam le aakar,
nahi raha ab koi mera..
waqt to chalta raha apni raftar se,
aur mera har apna bichard gaya,
dekha tha jo kabhi khwab wo suhana,
waqt k haathon sab kuch bikhar gaya..
kisko doshi thehrayein aur kisse gila karein,
naam le le kar hi uska meri saanse,
ab bhi kyu chala karein..
woh thi bewafaa ya koi majburi thi uski,
annginat hai baaki sawaal abhi,
jinka jawab ab tak mila nahi..
log kehte hain ki wo khush hai,
na usse yaad ab meri aati hai,
par dil-e-bekarar ko,
aitbaar kisi par hota hi nahi..
khushiyon se har naata tord chuke hain,
gam se ab kar li hai dosti maine,
kya karein kise apna kahein,
koi bhi apna to ab raha nahi..
khawaabon me ab bhi dhundate hain jinko,
sach to ye hai unke dil mein,
ab wo pyaar raha hi nahi..!!
No comments:
Post a Comment