insaan chale jaate hain yaadein chord jaate hain

insaan chale jaate hain,
yaadein chord jaate hain,
koi tha apna chala gaya door,
bus uski yaadon ke sahaare jeeye jaate hain.

daffan hai koi door viraane mein,
aagaaz chaahte hain ab to dua kubul karlo,
khwaahishon ki laash mein zinda hai aaj bhi koi tere,
aas pehar zindagi ko maut mil jaati hai.

apne aanshuon ko chalkaana nahi chaahata,
per aanshun hain ki chalak hi jaate hain,
unko rok nahin paata.

parda na uthaana khudha ke vaaste,
main nahi chaahata yahaan bhi,
wahi kaafir bewafa sanam nikale.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts