main to akshar bhool jata hoon

yeh jo main shayari sunata hoon,
apne labbzo ko roshni me pirota hoon,
na apna kabhi yaad rakha,
na tujhko bhoola pata hoon..

ishq ki aag jitni iss dil me hai,
aanshoono se usko main bhujhata hoon,
khud hi jata hoon uske dar par main,
aur khud hi waha se laut aata hoon..

jo kabhi tairrta rahta tha samander me akshar,
ab to kashti me bhi dub jata hoon,
yun to tara tha main aashmano ka,
par ab lakeer chord aata hoon..

khud banata hoon apne ghar ko main,
aur khud hi usko girra aata hoon,
so main kya hoon.. ab jo bhi hoon,
main to akshar bhool jata hoon,
main to akshar bhool jata hoon

kyu iss baat pe bhi woh pighla nahi karte

dard uthta hai magar aah nahi karte,
kaun kehta hai hum wafa nahi karte,

aakhir kyu nahi badalti takdeer meri,
kya mere dost mere hakk mein dua nahi karte,


unhein hi chaha hai humne umar bhar ke liye,
kyu iss baat pe bhi woh pighla nahi karte.

na jane sine me aaj kyu itna dard hua

dhali jo shaam, to mausam bhi shard shard hua,
din chardte hi suraj bhi garam garam hua,
tamam umar safar me raha mera chehra,
isse liye to aayena bhi gad gad hua.

wo mere aiyeb ginati hai aaj kal mujhko,
wo to ek kamjor paudha thi jo aaj perd hua,
pakard k haat mera usne chalna sikha tha,
nazar ka noor tha pehle jo ab zigar ka dard hua,

hamare dil ko to aadat thi chot khane ki,
na jane sine me aaj kyu itna dard hua.




registaan ki dhup mein tapi hai meri zindagi

dukhon ke bhaar se dabi hai meri zindagi,
aanshuon ke sitaron se saji hai meri zindagi,

halat-e-bebassi apni main kah bhi nahi sakta,
gamon ke zanjeer se bandhi hai meri zindagi,

naseeb mein apne ek chhoti si khushi bhi nahi,
iss waqt ke toofan mein ujadi hai meri zindagi,

ji karta hai mita doon ghamon ke sath khud ko,
magar rishton ki dor se bandhi hai meri zindgai,

sochta hoon ki kabhi bahar bhi aaye ye udaasiyo mein,
magar registaan ki dhup mein tapi hai meri zindagi.

tera mera milna kya hai

perdo se jab patte girtein hai toh,
usko patjard kehate hain,
aur jab naye fool khilte hain toh,
usko vasant kehate hain,

door milne ka umeed liye,
jab dharti gagan milte hain,
toh usko cheetizz kehete hain...

per tera mera milna kya hai?

isse na toh vasant na toh patjhad
aur na cheetiz kehete hain!

yeh toh sirf ek ehasas hai,
ehasas kuch nahi ek pangdandi hai,
tumse mujhe tak aati huyi,
main aur tum tum aur main,
jiske agge sunne hain sab.

jo manzil pe na pahuche usse rashta nahi kehte

jo manzil pe na pahuche usse rashta nahi kehte,
do char kadam saat chalne ko chalna nahi kehte,
ek hum hain jo gaiyro ko bhi keh dete hain apna,
ek aap ho jo apno ko bhi apna nahi kehte.

khatra to bahut hai samander k safar me,
tufaan aaye to bhi hum usse khatra nahi kehte,
ban jaye agar baat to sab kehte hain kya kya,
aur baat bigard jaye to kya kya nahi kehte.

woh chahate hain ki mere lab pe ab shikayat bhi na ho

woh chahate hain ki mere lab pe ab shikayat bhi na ho,
woh katal kerte rahe aur mere dil se aahat bhi na ho,
jab chaha dil se khela, jab chaha tord diya,
aur uski bewafai ki kisi se charcha bhi ha ho..

roz ek zakham naya is dil pe mere lagaya jaye,
par aankho se aaskh chalakane ki ejaajat bhi na ho...

zindagai jaise bhi ji chahe gujaro,
aayena samane rakho to galtiyo ka ehsaas bhi na ho,
hadd se bardne lage dard to chup kya rahna,
bujhdili lagne lage, aisi sarafat bhi na ho...

kyu saza lete hain barde log un kitabo ko almari me,
jinhe pardne ki unko kabhi fursat bhi na ho...

wo zindagi ki hakikat kaha samajhte hain

har ek mord pe rashte badate rahte hain,
ajeeb log hain jo chehare badalte rahte hain,
jo bulandi me ho ussi ke kareeb ho gaye,
ye har mauke pe humsafar badalte rahte hain,
aap dusorn k dhan daulat per yu na itrao,
har ek daur me sikke badalte rahte hain,

wo zindagi ki hakikat kaha samajhte hain,
sitare chaand ki keemat kaha samajhte hain,
sab apni apni jarurat batate rahte hain,
hamari bhi koi jarurat hai..
ye log kaha samajhte hain.

hum ek hote to duniya ko jeet lete,
wo hamari baho ki takat kaha samajhte hain.

kabhi jo deti thi jaan mujh per

kabhi jo deti thi jaan mujh per,
aaj ussi k dil me khatak raha hoon,
zamaana bhatakta hai andhere me,
main roshni me bhatak raha hoon,

gulab tujhme kaha wo khusbu,
jo mere ehsaas me bassi hai,
saath beetaye ek ek pal woh,
aaj bhi us yaadoon se mehak raha hoon,

nayi hawaaye, ab tum hi maswara do,
ki sirf aanchal rahe gale tak,
ye sar nahi.. mere pyar ki hai izzat,
 jo tu ghunghat se dhak rahi hai,

mujhe khud apni khabar nahi hai,
kaha tak zamaane ki wafa dekhu,
khud apne ghammon me kho gaya 
hoon,
maut k gaud ko taras raha hoon,

kabhi jo deti thi jaan mujh per,
aaj ussi k dil me khatak raha hoon..

sometimes you learn but it’s too late

sometimes you hurt the ones who loves you most,
sometimes you hold the ones who leave you lost,
and sometimes, you learn but it’s too late...!!

ek teri tasweer ko dil me chupa rakha hai

teri yaad ne mere dil ko saja rakha hai,
tere pyar me sabko bhoola rakha hai,
kuch acha nahi lagat teri judaai ke baad,
ek teri yaad ko seense se laga rakha hai.

tera milna to ab khawab sa lagta hai,
na jane kyu ab dil ko bhoola rakha hai,
mukaddar se milte hain bichard ke warna,
aaj bhi tera naam dil me saja rakha hai.

na jane koi nahi bassta siwa aankho me,
ek teri tasweer ko dil me chupa rakha hai,
hum ek nahi so so raatein jaage tere intzaar me,
lagta hai ek so saal ka waqt legega tere ikraar me.

aaj shaam ki kuch ajab hi baat hai

aaj shaam ki kuch ajab hi baat hai,
mere dil mein bhari maayusi jo itni hai,

dard hota hai labon par lafz laane ko,
dukhon ki yahan gehraayi jo itni hai,

aanshuon ne bhi jaise nikalna chhord diya,
meri aankhein ho gayi paraayi jo itni hai,

kaante ki tarah har lafz tumhara tha woh,
be-rehmi se baatein sunaayi jo itni hai,

rona chaah kar bhi ro nahi paa raha hoon,
iss mohobbat ne dil ko rulaya jo itna hai,

seene mein chubh rahi hai har ek yaad woh,
tumse maine yaadein churaaya jo itna hai,

iss akelepan mein ghum ho gaya hoon main kahi,
mere hi dosti mein shayad buraayi jo itni hai.

tum se aas lagaau bhi to kya

kuch din to baso meri aankhon mein,
phir khawaab agar ho jaao bhi to kya,

koi rang to do mere chehare ko,
phir zakham agar mehkaao 
bhi to kya,

jab hum hi na mehake phir sanam,
tum gull-ae-staan kehlaao 
bhi to kya,

ek aayana tha main.. jo toot gaya,
ab khud se agar tum sharmao 
bhi to kya,

duniya bhi wahi aur tum bhi wahi ho,
phir tum se aas lagaau 
bhi to kya,

main tannha tha, main tannha hoon,
tum aao to kya, na aao 
bhi to kya,

jab dekhane wala koi bhi nahi,
bujha jaao to kya, jala jaao 
bhi to kya,

ek wahem hai yeh duniya ess mein,
kuch khoun to kya, kuch paaun bhi to kya,

hai yun bhi jiyaa aur yun bhi jiyaan,
jee jaau to kya, mar jaau bhi to kya...

kyu kismat me mere likhi sirf tanhai hai

kyu kismat me mere likhi sirf tanhai hi tanhai hai,
kyu khuda ne haath me mere gum ki rekha sazayi hai,

mehefil me bhi tanhayi ka saya nahin hatta,
dil me bhi ek mayushi si chaayi hai,

shayad saath kabhi na chutega iska “monika”
aisa laga 
jaise woh teri hi parchayi hai…

main hi raha akela saara karwa chala gaya

main hi raha akela saara karwa chala gaya,
mohabbat ke jhooti kashmon aur waado mein ulajh ke reh gaya,

ab toh siskiya bhi nahi aati, 
aankho se aanshoo ke moti sukh gaye,
chand saanse jo mujhe mera jeena ki wajhe batati thi, 
woh bhi ruth gayi,
main zinda reh ke bhi laash ki tarah jal gaya,
mohabbat ke jhoothe waaddo aur kashmon mein uljha reh gaya.

nahi sambhalti ab ye khaufnak raate,
jo kabhi hassin hua karti thi,
nahi hilti ab ye alfaazo ki geet,
kabhi kisi ko muskuraane ki wajah diya karti thi,

ab toh dum ghuttne laga hai aashiko ke shaamiyano me,
nasson me khoon bhi baaki naa raha, 
sukh gaya sara mere jism se,
woh toh jaanti bhi nahi mujhe aisa keh ke mujhse gayi thi,
mohabbat ke jhoote waaddo aur kashmon mein uljha reh gaya,
main hi raha akela saara karwa chala gaya...

zindagi sath unke hoti to kya aisi hoti??

zindagi sath tere hoti to kasi hoti,
har khushi sath tere hoti to kasi hoti,

zindagi jo hai biti aaj tere sath bina,
sang hota tera aye kash…! to yeh kesi hoti,

yeh jo aanshoo mere har baat pe aa jate hain,
yeh jo pal pal me tujhe yaad kiye jata hoon,
kuch bhi to aaj tak main na bhula paya hoon,

janna chahta hoon ek baat aye mere khuda tujhse,
zindagi sath unke hoti to kya aisi hoti??

sach sach bata tu kahin bewafa to nahi

tere bare mein mujhko pata to nahi,
aadmi main bhi itna bura to nahi,

kab tak main tujhe maaf karta rahoon,
aadmi hoon koi devta to nahi,

kyu nigahein milane se darti hai tu,
sach sach bata tu kahin bewafa to nahi,

likhna takdeer ka mere bas me nahi,
aakhir main bhi aadmi hoon koi devta to nahi.

mere intezar ki kabhi to keemat karega khuda

mere intezar ki kabhi to keemat karega khuda,
kabhi to mujhe woh dega jo nahi mila,

kabhi to badlega judaai ka masum milan mein,
kabhi to khelenge phool chaman mein,

kabhi to sapne mere badlenge hakikat mein,
kabhi to chaahat meri hogi mukamal,

kabhi to safar mein milegi manzil,
kabhi to meri nazar payege dedaar,

kabhi to dhardhkega dil mera phir ek bar,
kabhi to mehsus hogi tujhe bhi phir se meri wahi khusbu,

kabhi to samhjega khuda mera …
jo sukun hai iss mein kaha milta hai jannat mein.

kuch to piche chut raha hai

kuch to kahi tut raha hai,
kuch to piche chut raha hai,

sukh bhi daman chord raha hai,
dooriyo ka darr bard raha hai,

kuch to kahi bikhar raha hai,
har purana pal guzar raha hai,

zindagi ka rukh badal raha hai,
judaai ka mausam aa gaya hai,

dhardkano ka silsila ruk sa gaya hai,
saath chalte chalte haath chut gaya hai,

waqt jaise keh raha hai,
tera dil tujse rooth raha hai...

kash kaha hota

kash kaha hota tume,
kushi chahiya, 
hum duniya bhar ke de dete,

kaha hota,
khwaish puri karne ko, 
hum ek bhi arrman baki nahi rakhte,

kaha hota,
tare tord lane ko, 
sara aakash le aate,

kaha hota,
phoole lane ko, 
gulshan le aate,

kaha hota,
pyaar karne ko, 
aakhiri saas tak karte,

kaha hota,
jaan de dene ko, 
hasste hasste de dete,

par tum to woh maang baithe,
jo mere bas me hi nahin,
tum se juda hokar jee pana …..

yahi acha hai tu kisi se pyar na kar

dil ki baaton pe aise aitbar na kar,
yahi acha hai.. tu kisi se pyar na kar.

bana na de ghayal tujhko bhi mohabbat,
tu apne dil ko kisi k liye bekarar na kar.

bardi hoti hai muskhil ye judaai ki ghadiyan,
tu dil me apne.. kisi ka intezaar na bhar.

aaj nahi raha duniya me kahin sacha pyar,
ye suada hai dilon ka.. tu ye beyapaar na kar.

nahi hoti yahan keemat ehsaason ki koi bhi,
tu ho ke deewana iss kadar unpe jaan nishaar na kar..

aao sunaye tumhein apni kahani

kya sunaye tumhein apni kahani,
lafzon se beyan na hogi humari zindagani,
jeeye ja rahe the apni hi dhun mein,
hum to mast the apne hi rang mein,
na koi saathi na koi manzil thi,
bas akele hi zindagi katti thi,

ek din chal pardi raah apni,
ja rahe the masti mein apni,
chalte chalte na jaane kaise,
kadam khud-ba-khud ruk gaye,
nazar aa-gaya ek haseen nazara,


na pehle inn aankhon ne dekha us jaise koi pyara,

zulfaein urdd urdd ke galon pe aa rahe the,
jaise woh bhi unko chhuna cha rahe the,
palkein utti to laga jahan ruk gaya hai,
zameen ruk gayi hai aashman jhuk gaya hai,
dil cha raha tha bas dekhte rahe unko,
palkein kabhi na jhapke aur dekh le woh bhi humko,


ek pal main pukar sun li khuda ne,
palat ke humein dekh liya unhone,
bas nazar nazar mein jaise baat ho rahi thi,
dekhte dekhte shaam bhi dhal rahi thi,


ek nazar main woh aisa jaadu chala gayi,
iss dil mein to khal-bali macha gayi,
bas nazarein jhuka ke woh sharmani lagi,
kadam murdke woh jane lagi,

dil chaah raha tha jaa ke roklun unhein,
apne dil ki baat beyan ker dun unhein,
jaate jaate palat ke woh muskura gayi,
ek pal main meri duniya badal gayi,

bas gaya tha nazron main manzar unka,
har jagah dikhta tha bas chera unka,
woh raat kerwaton mein guzar gayi,
meri aankhon se woh neend bhi urdda gayi,

bas deedar ko aankhein taras rahi thi,
ru-baru unse mulakat ki ho rahi,
woh subah to bardi haseen lagne lagi,
zindagi bhi nayi si lagne lagi,

chal parda dil apni manzil ko,
aankhein dhondti rahi bas unko,
din dhalte dhalte raat ho gayi,
na jaane woh ajnabi kahan kho gayi,

kahan dhondte hum apni gumnaam mohobbat,
kisse kerte beyan hum apni yeh chahat,
bas har rooz subah sham dhondte unko gali gali,
lagta hai khuda ne meri takdeer hi yeh likhi,

aaj bhi yaad hai humein unka woh muskurana,
nazrein jhuka jhuka ke haay yun sharmana,
unki tasveer to dil mein bas gayi hai,
ab bhi mohobbat meri dhadak rehi hai,

bas yehi hai meri zindagi ki kahani,
na jaane kab kaise guzar gayi meri jawani..

aaj dil ki har baat kahi to tera zikkr aaya

aaj dil ki har baat kahi to tera zikkr aaya,
guzari mohobbat ka har lammha yaad aaya…

huyi muddat aaj tak mujh me kuch bhi nahi badla,
mere khayaal mein teri adaaon par naya rang aaya…

teri yaadon ki aahat ko batorne mein hoon jutta,
bas tera karam hai yeh jo khudko naa samjha paaya…

mere zindagi mein ab aur baaki raha,
jab ek khayaal tak naa tujhko mera aaya…

jee raha hoon bas issi soch mein doobh kar,
waada kiya tha jo tumne, phir kyu nahi aaya…

aaj dil ki har baat kahi to tera zikkr aaya,
guzari mohobbat ka har lammha yaad aaya…

ishq to be-dard hai barda

ishq to be-dard hai barda,
issmein har ghardi dard hai bhara,

sholo ki dagar hai yeh,
kanto ka safar hai yeh,

viraniyo se guzarna hai yeh,
iss rah ki koyi nahi manzil, 
rahi bhatak gaya to kuch nahi hasil,

raato ko jagata hai yeh,
har ghardi tardpata hai yeh,
sapne dikhake bhoolata hai yeh,

iss dard ka alam baya kya karu,
itna hai ki kuch keh na saku,

phir bhi khuda ki sabse,
koobsurat vardaan hai yeh...

shyaad pyar me tu thodi si kamzoor hai

ek pal bhi teri yaad dil se jaati nahi,
tere saath k bina zindagi bhi raas aati nahi,

hardum har pal yahi ehsaas hota,
ki agar tu hoti to har pal kaisa hota,

shyaad waqt tham jata mere liye,
saari kushiya mil jati us ek pal mein,
dhardhkane jurd jati uss ek pal mein,
hum pass aa jate jis pal mein,

kash main zindagi mein tere saath ho pata,
tere bina mujhe raasthe milte nahi,
tu jab tak hai kushiyo se ristha hai mera,

tujhe hakk hai mujhse door jane ka,
kyoki dil milke bhi haath milte nahi,

lekin aaj kareeb hoke hum door hain,
shyaad yahi zindagi ko manjoor hai,

pana chaha tha maine tera saath har pal ka,
per kya karu ye ho nahi saka,
kyoki tu pass hoke bhi bahut door hai,
shyaad pyar me thodi si kamzoor hai...

nahi hai manzil aur na hi rastha mera

nahi samajh atta aaj khuda,
karu tera shukriya ya karu fariyaad,

diya tune mujhko jeena ka bhahana,
aur phir kar diya mujhe barbaad,

woh ban jaaye meri..
karta raha main dil me yahi aarzoo,
per kya pata tha ki,
tu kabhi bhi kar sakta hai muje aazaad,

aaj tak teri har marzi per,
tera darbar me sir jhukaya maine,
teri har ha per na kaha nahi maine, 
per aaj to usse mat kar mujse door...

karana hi hai agar usse mujhe judaa to,
saath me le lena woh dhadhkane,
meri jisme thi kabhi woo bassi,

kyoki unke na hone ki baad,
nahi hai manzil aur na hi rastha mera..

ek pathar dil se pyaar kiya hai

ek pathar dil se pyaar kiya hai,
apna dil bekraar kiya hai,

jisse apni yaadoon ka hakdaar kiya hai,
ussne mujhe gum se aabaad kiya hai,

chain aur karaar lut gaya mera,
jo jaan kar bhi anjaan hai mujhse,

aye khuda ab to pighlade usse,
usse pyaar karne ki saaza na de muje,

pyaar agar ehsas hai, 
to ye ehsaas kara de usse..

teri yaadein saath hai par tu nahi

kyo jab bhi tujhe sochta hoon barsaat hoti hai,
baraste pani sa yaad judaai hai,

dil phir sochta hai tujhe,
kya abhi bhi kuch baki hai,

har kushi hai tere pass,
phir bhi kyo udaasi mehsoos hoti hai,

agar dil ka ristha nahi hai yeh,
phir tu dil se nikalti kyo nahi,

khaali pan bharta kyo nahi,
shayad barastha pani ehsaas dilta hai, 
teri yaadein saath hai par tu nahi...

kisi ki aankhoon se sapne chura kar kuch nahi milta

kisi ki aankhoon se sapne chura kar kuch nahi milta,
mandiroon se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta,

koi ek aadh tumhara sapna ho to phir accha bhi lagta hai,
hazaron khwaab aankhoon me saja kar kuch nahi milta,

yeh accha na hua jo saare aapas k bharoshe tord diye tumne,
kabhi kabhi apno ko aazma kar kuch nahi milta,

raj ki sookhti raag me jara sa khoon shamil kar,
mere humdam jhoothi baatein bana kar kuch nahi milta,

mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai,
kisi k yaadon me neendein ganwa kar kuch nahi milta,

jiggar ho jayega chhalni yeh aankhein khoon se royengi,
aye dil befawa logon se pyar nibah kar kuch nahi milta..!!

unhone khoya wo jo sirf unhi ka tha

thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!

maine hass diya,
aakhir sawal unki khushi ka tha.

maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
par unhone khoya wo jo sirf unhi ka tha…

koi kya jaanega meri zindagi ka afsana

koi kya jaanega meri zindagi ka afsana,
apni to aadat hai har baat par muskurana,

log to roo lete hain duniya ko dikhane k liye,
apni to aadat hai gam me khushi milana,

kon jaane kiske dil me kya hai,
log kehte hain mujhe pasand hai duniya ko jukhana,

jaroori to nahi jo muskuraye usse koi gham na ho,
aata kahan hai sab ko apna gam chupana,

hum jo karte hain baat chand logon se,
woh bhi samjhate hain humein pasand hai unhein satana,

kissi ko kissi ki parwaah nahi yahan
bas yaad rehta hai sab ko hakk jatana,

har baat ki khaal uttarte hain log yahan,
aata bahot hai logon ko baat se baat banana,

kissi ko aitraaz ho agar parindoon k chah-chahane se,
chordte kahan hain parinde chah-chahana

agar kissi ki baatein na bhayein man ko,
behater hota hai unhein bhool jaana,

hum to wo paagal hain jaan loo yaaro,
de denge jaan bhi kabhi aazmana...!!

bhoolne waale se koyi keh de zara

bhoolne waale se koyi keh de zara,
is tarah yaad aane se kya faaiyda,

jab mere dil ki duniya basaati nahin,
phir khayaalon me aane se kya faaiyda,

kya kahoon aapse kitni umeeden thi,
aap kya badale duniya badal si gayi,

aashra de ke dil tord te hain mera,
is tarah sataane se kya faaida,

chaar tinke jala ke kya mil gaya,
mita saki na zamane se mera nishaan,

mujhpe bijli girao to jaanu sahi,
aashiaan par girane se kya faaida.

dard ab hadd se bhi aage bardh gaya

dard ab hadd se bhi aage bardh gaya,
tera mera rishta jaane kyon tut gaya,

us raat.. dil roya aur bas rota hi raha,
saanson se zindagi ka naata kyon tut gaya,

tere jaane ke baad phir kisi ko dil chah na saka,
khada reh gaya wahin jahan tumse tha choota,

na jaane tu hi kyon mujhe har baar door dikhi,
ye siskiyon ka silsila ab jaada hi door le chala,

maut mile mujhe ab yahi hai tujhse dua,
warna jeena tere bin ab bahut mushkil ho chala..!!

sachha pyar hota hi nahin pata aajkal

main so nahin pata aajkal,
jo chahoon wo wo ho nahin pata aajkal,
kabhi ehsaas bhi zinda tha dilon me kahin,
lagta hai sachha pyar hota hi nahin pata aajkal.

dheere dheere ab thamne ko hai saans

dheere dheere aashko ne behna shuru kiya,
dheere dheere dil ne aapke bin rehna shuru kiya,
dheere dheere hume khushiyon se doori ka hua ehsaas,
dheere dheere ab thamne ko hai apni har saans.

mujhe yaad nahi

kab hoyi pyar ki barsat,
mujhe yaad nahi,
khof me doobi mulakat,
mujhe yaad nahi...

main to madhosh tha,
kuch itna unki chhahat me,
unhone kab chorrd diya sath,
mujhe yaad nahi...!!

ab safer to hai magar wo hamsafer nahi

dil ki dhardkano ko ek lammha sabar nahi,
shayad ki unko ab meri kadar nahi,
har safar me mera kabhi hamsafer thi woh,
ab safer to hai magar wo hamsafer nahi..!

mat pucho ye mujhse ki kab yaad aate ho

mat pucho ye mujhse ki kab yaad aate ho,
jab jab saanse chalti hain bahut yaad aate ho,

neend me palkein hoti hain jab bhi bhari,
ban ke khwaab baar baar nazar aate ho,

mehfil me shaamil hote hain hum jab bhi,
bhird ki tanhaiyon me har baar yaad aate ho,

jab bhi socha ki faasla rakhun main tumse,
zindagi ban k saason me sama jaate ho,

khud ko toofaan banane ki koshish to ki,
ban k saahil apne aagosh me sama jaate ho,

chahata na tha main is paheli me ulajhna,
har uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho,

suraj ki roshni, chanda ko chandni,
aasmaan ko dekhta hoon main jab jab,
tumhari kasam bahut bahut yaad aate ho...

kyun rulaati ho humein

kyun rulaati ho humein,
kyun bhool jaati ho humein,
tere hi sahaare to jee rahe hain hum,
to phir kyun akela chhord jaati ho humein?

har baat ko chhupana aata hai tumhein,
roothon ko manana aata hai tumhein,
roothe ho tum najaane kis baat par,
to phir wo baat kyun nahi bataati ho humein?

jaan jaati hai hamari, jab yaad aati hai tumhari,
tum to humein bhula deti ho,
to phir kyun yaad aati ho humein?

hum jeene ke bahaane marte rahenge,
pyar hum tumse karte rahenge,
pyar to tum bhi karti thi na,
to 
kyun bhool jaati ho humein,
kyun itna rulaati ho humein??

zindagi me mere abb sirf tanhai hai

zindagi me mere abb sirf tanhai hai,
tumhari yaad mujhe kis mord par le aai hai,
na aaj tum ho aur na tumhara saya hai,
bas issi sooch me mera aankh bhar aaya hai,

tumhari tammana mere dil me har waqat rehti hai,
tumhari aas iss dil ne kyon lagai hai,
woh ek bar bhi palatne ko razi hi nahi,
kase musafir ko awaz jo hum ne lagai hai,

har ek zakham jinka hum ne hass kar saha,
na jane kyon inki har baat albeli payi hai,

tumhare gam hamein kehte hain, hum see dosti kar lo,
ki ab to tumhare pass bhi tanhai hai..

itna toota hoon ki chhune se bikhar jaunga

itna toota hoon ki chhune se bikhar jaunga,
ab agar aur dua karogi to sach me mar jaunga,

pooch kar mera pata, waqt apna barbad na karo,
main to banjara hoon, kya jaane kidhar jaunga,

har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
kaun pehchanega mujhe, kahin main goom jaunga,

zindagi..  main bhi musafir hoon teri kashti ka,
tu jahan mujhse kahegi main utar jaunga,

phool reh jayenge guldaste me yaadon ki,
main to khushboo hoon phizaaon me bikhar jaunga,
itna toota hoon ki chhoone se bikhar jaunga...

uddas aankhein

uddas aankhein, uddas aankhein,
mujh ko acchi lagti hain ab,
ha aise aankhein...

jin ko dekh kar yun lage,
ki jaise bahut kuch chupa rakha ho,
in ankhon ne apne ander,

jin ko dekh kar yun lage,
ki jaise wo kuch kehna chahati hon,

jin ko dekh kar yun lage,
ki jaise in me kitne raaz chupein hon,

jin ko dekh kar yun lage,
ki jaise wo kisi ki talash me hon,

jin ko dekh kar yun lage,
ki jaise wo kuch thak si gayi hon,

jin ko dekh yun lage,
jaise wo kisi soch me doobi hon...

kuch dost bahut yaad aate hain

main yaadon ka kissa likhu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,
maine gujare pal ko sochu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

ab jaane kaun si nagari me,
aabaad hai jaaker muddat se,
main der raat tak jaagu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

kuch baatein thi phoolon jaisi,
kuch lahaje khusbu jaisi,
main sehar me kabhi jo tahalu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

sabki zindagi badal gayi,
ek naye sere se dhal gayi,
kisi ko naukari se fursat nahi,
kisi ko doston ki jarurat nahi,
koi pardne me dubba hai,
kisi ki do do mehbubaa hai,
saare yaar gum ho gaye,
tu se tum aur aap ho gaye,
main gujare pal ko sochu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

dhire dhire umar kat jaati hai,
jeewan yaadon ki pustak ban jaati hai,
kabhi kisi ki yaad bahut tardpati hai,
aur kabhi yaadon ke sahare zindagi kat jaati hai…

shayad uss dil ki kasti ko naya manjhi mil gaya hoga

kabhi jis dil me naam hamara dhadakta tha,
jin aankhon me kabhi hamare hi sapne hote the,
jin hothon par har waqt hamara hi naam hota tha,
aaj wahi dil, wahi aankhe, wahi sab begane se lagte hain. .

shayad uss dil ki kasti ko naya manjhi mil gaya hoga,
apna kya, hamne to kinare se dosti kar li.

maine tere yaadon se mohabbat ki hai

tere labbon se mohabbat ki hai,
tere ehsaason se mohabbat ki hai,
tu mere pass nahi phir bhi,
maine tere yaadon se mohabbat ki hai..

kabhi tune bhi mujhe yaad kiya hoga,
maine unn lammhon se mohabbat ki hai,
jin me ho sirf teri aur meri baatein,
maine unn allfaazon se mohabbat ki hai..

jo mehakte hon tere mohabbat me,
maine unn jazzbaaton se mohabbat ki hai,
tujhse milna to ab ek khawaab sa lagta hai,
isleye maine tere intezaar se mohabbat ki hai..

sochte the mohobbat kar ke dekhein

sochte the mohobbat kar ke dekhein,
log kaise naakaam hote hain aur marr jaate hain,

kal sab khabar mili mujh ko,
meri naakaam mohabbat ne,
gaye roz dam tord diya.

tumhari yaadon me hamesa dubba rahta hoon main

har baat ki hakikat tujhko batata hoon main,
juban nahi magar sab kuch sunata hoon main,

mujhe kareeb se dekho agar khud ki talash hai,
main aaina hoon sabhi raz dikhata hoon main,

tord deta hoon main khud apne sapane teri khusiyaan dekh kar,
nahi kabhi kisi ka dil dukhata hoon main,

mujhe pyar se dekhoge to pyar nazar aayega,
dukh se dekhte ho to aanshoon bahata hoon main,

mujhe tord dete ho to bhi wafadaar rahta hoon,
sau tukdo me bikhar kar bhi sirf tujhse pyar karata hoon main,

gar naraaz ho gaye raaj ki baaton se to ye hak hai tumko,
magar tumhari yaadon me hamesa dubba rahta hoon main.

dekh main tujhse kitna pyar kerta hoon

tere laut aane ka intezaar kerta hoon,
dekh main tujhse kitna pyar kerta hoon,

main banata hoon kaagaz par teri tarveerein,
phir unhein se baatein hazaar kerta hoon,

tere dukhon ko bhi apne dilse laga ker,
apne dukhon me shumaar kerta hoon,

sach samajhta hoon jhoot bhi tera,
yoon main tera intezaar kerta hoon,

aaj bhi sochta hoon to meri aankhein bhieng jaati hain,
aaye jaane jaana main tujhse itna pyar kerta hoon...

kuch tere liye kuch mere liye

dil-e-naadan, dil-e-tamanna tere liye,
ye tanhaayi, ye dard bhari zindagi mere liye,

ye mohabbat, meri ye zindagani tere liye,
ye aanshoo, ye maut mere liye,

ye phoolon ki waadiyaan, ye khusnummasham tere liye,
ye sulagti huyi aag, ye sukha dariya mere liye,

ye duua, ye aarju tere liye,
baaki saare gham, maayushi mere liye,

dua hai khuda se, ye saari kaayanat tere liye,
ki tu bas mere aur sirf mere liye....

All Time's Favourite Posts