kaate na tannha safer aa bhi jaa

bardi pyasi hai nazar aa bhi ja
soona soona sa hai ghar aa bhi jaa.

raat beete na din gujarte hain,
shaam ka waqt hai ghar aa bhi jaa.

tannha tannha hoon bahut tere bin,
ab nahi hoti guzer aa bhi jaa.

apni bahon ka sahara de mujhe
kaate na tannha safer aa bhi jaa.

bheegi palkein hain kapkapate honth,
apni aagosh mein bharne aa bhi jaa.

kaun ta-umar rokta hai tujhe
tu chali jana magar ek bari aaa bhi jaa. 

kyu rulaate ho mujhe

kyu rulaate ho mujhe?
kyu bhool jaate ho mujhe?

tere he sahaare to jee raha hoon main..
to phir kyu akela chodh jaate ho mujhe?

har baat ko chupana ataa hai tumko, 

roothon ko manana ataa hai tumko,

roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se…
to phir wo baat kyu nahi bataate ho mujhe?

jaan jaati hai meri, jab yaad aati ho,
tum to mujhe bhula dete ho… 
to phir kyu yaad aate ho mujhe?

hum jeene ke bahaane marte rahenge, 
pyaar hum tumse hamesa karte rahenge,
pyaar to tum bhi karti thi na..?
to phir kyu sataati ho mujhe?

ya keh do zeher peene ko, 
ya kaho phir mujhe jeene ko.,
agar mere saath me nahi chalna tha tumko,
to phir kyu raasta zindagi ka dikhaya mujhe?

beech raaste me kyu is tarah akela chordh diya?
kaho.. kuch tho kaho.. kyu akela chordh diya….

dardon se kuch is kadar chhalni ho gaya hai raaj

kurred ke mere zakhmon ko usse kya mila hoga,
lahoo ke har katre mein apna aks dikha hoga,

mohabbat ka isse haseen kya koi namuna hoga,
ki meri ibadat-e-ishq se darta khud khuda hoga,

ek aah to usne bhi bhari hogi us lamhe mein jaroor,
jab dard-e-dil mera saari haddon se guzra hoga,

jise humne dhunda kiya har tukde mein kabhi,
kya tha maloom ki woh is dil mein chipa hoga,

aashiq parvaane kud pardte hain kisi shamma mein,
sochte bhi nahi ki haal unka ab phir kya hoga,

lakh palkein jhukaaye woh bahanon se par dekhna,
uski aankhon se ab bhi mera aks na mita hoga,

dardon se kuch is kadar chhalni ho gaya hai raaj,
jo saamne khada karo to sharmsaar aainaa hoga,

mehfil mein aksar log mujhse pucha kerte hain,
ki tu aashiqi mein zakhmi aur kitna hoga

ek-duje ke bina zindagi adhoori hoti hai

khawaishein kahaan kisi ki puri hoti hai,
sapno ki hakikat to bahot buri hoti hai,

jitni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki,
darmiyaan utni hi doori hoti hai,

bichard jaate hain sathi safar-e-zindagi mein,
mil na paana to unki majboori hoti hai,

milkar bhi bichad jaate hain,
kuch aise badnaseeb bhi hote hain,
judaai ke aalam mein,
phir milan ki umeed har dil me hoti hai,

mehkta hai unka pyaar ek-duje ke sahare,
muskurahat honthon pe zaroori hoti hai,

chehre pe jhooti muskurahat zaroor sajaa ke rakhte hain,
na jaane kaunse mord pe ek aur gam se mulakaat honi hai,

soch nahi sakte zindagi ko sathi ke bina,
bichardana to dono ki kamzoori hoti hain.. ,

wajood hi nahi hai ek doosre bina koi,
judaai ki ghatiya chaal, wakt ne chali hoti hai,

phir bhi chalte rehte hain bina kuch soche,
ek-duje ke bina zindagi adhoori hoti hai,

milan hoga jis din chaahat ka apni chaahat se,
us din dekhna duniya ko jalan kitni hoti hai.

kyon aanshu beh gaye aaj bina teri yaad aaye

kyon aanshu beh gaye aaj bina teri yaad aaye,
kyon bewajah itni shiddat se hum roye,
bardi der tanhai mein baithe rahe,
shayad rone ka sabab yaad aa jaye.

sawaal kiya, aye dil bata...
bina uski yaad aaye, aaj kiyon aanshu beh gaye?

dil ki gehrahiyon se ek awaaz aayi,
yeh aanshu tere nahin,
tere yaar ke hain,
tere pyaar ke hain,
jisse na jaane kiyon aaj tum,
bahaut bahaut yaad aaye.

sach to yeh hai k tu kuch bhi na thi

jab tak tune thukraya na tha,
mohabbat bheekh hai socha na tha,

tere pehlu mein nazar aayi kaynaat mujhe,
duniya ko theek se dekha na tha,

saath jab tune chorda to bada mayoos tha magar,
zindagi aage bhi hai socha na tha.

jane kyun tujhe apni zindagi samajh baithe,
sach to yeh hai k tu kuch bhi na thi,

meri nakami ki wajah yehi rahi shayad,
hosla tha magar jazba na tha.

tere chehre pe shikan dekh kar ab yaad aaya,
meri aankhon pe ab chashma na tha.

yeh bhi acha hua ki dil tut gaya mera,
zindagi ka koi hadsa-e-sabak na tha.

yeh main janta hoon ya khuda janta hai

kitne ajeeb rishtein hain yahan ke,
do pal milte hain, sath-sath chalte hain,
jab mord aaye to bach ke nikalte hain,

mere dil ki baatein.. 
main janta hoon ya khuda janta hai

tum meri zindagi mein aaye aise
jaise sawan ki barsaat,
tum meri zindagi se gaye jaise
guzri ho kaali raat,
haalat meri kuch aisi huyi, 
jo koi nahi janta hai, 

mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

aaye the meri zindagi mein,
to bahar aa gayi thi,
gaye to zindagi reh gayi
patzar bankar,
sukha zindagi ka patta,
koi mali nahi janta hai,
mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

mere hoton par muskan di pehle to tumne,
phir pyaar bhari in aankhon mein aanshun bhar diye,
royein hum kuch iss kadar koi sahara nahi janta hai,
mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

woh purani yaadein aaj taja hogayi phir se

dil ki dhadkan humari tej hone lagi,
woh aa jo baithe hain mehefil mein phir se,

jo nazar meri unki nazar se mili,
to woh purani yaadein aaj taja hogayi phir se,

sabse nazre chupa kar is sham ki ronak hai woh,
yuh laga jaise pyar mera samajhne lagi woh phir se,

jab yaaron ne ki humse guzarish ek nagme ki,
to hal-e-judai sunane lage hum phir se,

samjha to tha ke ayegi unki ankhon me bhi nami,
par woh te jo muskura kar door chal diye phir se,

hum pukarte gaye aur woh door chalte rahe,
yuhi nadani mein hum unhein rokne ki koshish karte rahe phir se,

kafi der tak dekhte rahe apne armano ki chitta ko,
aur tannhai hum pe hassne lagi phir se,

dil ko to aab tak nahi yakeen unki iss beruhki pe,
jo har raat unke laut aane ka sapna dekhte hai phir se.

apni ek alag hi duniya basa rakhi hai

maine apni ek alag hi duniya basa rakhi hai, 
jisme rehne ka sapna main har pal dekhta hoon,
aasmaan ko chune ki chah nahi hai mujhe me, 
par taro ko pane ke khwab main har pal rakhta hoon,

kuch nahi chahte hue bhi,
main bahut kuch pana chahta hoon,
apni aankhon main aansoon ko basakar, 
main sabko hasana chahta hoon,

khud ko tanhaiyo main sametkar,
har kisi ko kisi ka saath dilana chahta hoon,
chahe khud ko mitana pare,
par har kisi ko uska jahan dilana chahta hoon,

mere khwab shayad aasmaan se bhi barde hain,
par unhein pane ki chahat bhi shayad aasmaan se bhi bardi hai….

mere dil se tune apna dil bahlaaya kyun tha

agar thukraana hi tha, to apnaaya kyun tha,
tord dena hi tha, to khwaab dikhaaya kyun tha,
agar chalna na tha saath, to bardhate na haath,
mere dil se tune apna dil bahlaaya kyun tha?

jo kabhi pyar karo to malum ho ke dard kitna hai

jo kabhi pyar karo to malum ho ke dard kitna hai,
wo jo ek shaks milta bhi nahi, aur bhoolta bhi nahi, 

chubhta kitna hai..

raato ko jo sone na de, kisi aur ka hone na de,
aisi mohabbat me bhi pyar kitna hai,
jo kabi pyar karo to malum ho ke dard kitna hai…

jo akele kamare me ghanto bithaye rahe,
na kuch sujhe uske siwa, na kuch kiya hi jaye,
aisi shaamo me, intezar kitna hai,
jo kabhi pyar karo to maalum ho, ki dard kitna hai…

log kehte hain waqt guzarte der nahi lagti, 
par uski yaad me baithe, 
har pal ke guzarne ka ehsaas kitna hai…

anjane se hi sahi par ehsaas to karo,
jo tere liye ek pal hai, wo mere liye, waqt kitna hai..

jo kabi pyar karo to malum ho, ke dard kitna hai....

mat jaao mujhse door

mat jaao mujhse door
main tere bin jee na sakuga,
agar chahati ho jana
to jane se pahale yeh bata do ki

mere siwa
kiski hongi woh aankhein,
jo tujhe dekhane ko tarasti ho,

kiski hongi woh baahein
jo tujhe kasane ko tarasti ho,

kiske honge woh haath
jo sirf teri dua ko uthate ho,

kiske honge woh kadam
jo sirf teri aur hi bardhate ho,

kiske honge woh khayal
jo tere khwaab se sajate ho,

kiske honge woh honth jaha
sirf teri pyas basti ho,

kiski hongi woh raat
jo teri yaad mein kat-ti ho,

kiski hongi woh dhardkane,
jo tere naam se nikalti ho,

kiski hogi woh zindagi
jo tere intezaar mein gujarti ho,

kya paogi tum yeh sab mujhse door jaa ke?
kya paogi aisa pyar mujhe bhula ke?

ab bhi agar ruk nahi sakte
to thoda intezaar to kar lo
ki tere jaane pehale meri jaan
ruksat ho jaane do...

gayron se mil kar muskuraane lage hain

aaj kal wo humein satane lage hain,
gayron se mil kar muskuraane lage hain,

mujh se agar baatein naa karen mujhe gum nahin,
gum ye ki woh kisi aur ko chahane lage hain,

wo apne chehare ko humse chupaane lage hain,
jis chehre ko dhundhne mein humein jamane lage hain.

na ho sath chahe koi har pal ke liye

na ho sath chahe koi har pal ke liye,
par kuch yaadein to hoti hain umar bhar ke liye,

yun to koi zindgi bhar sath chalne wala bhi sathi nahi banta,
par kyo badal jata hai zindagi chahe sath chala ho koi do kadam ke liye,

uss ek pal me koi apni sari zindagi je leta hai,
baki kat jati hai kisi weham ke liye.

lout aa jana

jab din ka suraj dhalne lage,
aur zindagi raat me ghirne lage,
tum ko kasam hai jana... lout aa jana.

jab chahane wale bhi sare tum se khafa ho jaye,
aur khud se bhi dil ghabrane lage,
tum ko kasam hai jana.. lout aa jana.

ab tak to tum ko chaha hai,
umar bhar tumko hi chahenge,
jo ho iss baat par yakeen jaana,
tum ko kasam hai.. lout aa jana.

honto pe hassi aati nahi,
aankho se aashk bahte nahi,
phir bhi jo kisi roz...
hassane ya rulane ko jee chahe,
tum ko kasam hai jana,

lout aa jana....

main tere liye bas ek khilona tha

teri yaadon par mujhe yakin tha,
teri baaton par mujhe yakin tha,

yakin tha mujhe teri muskaan par,
uss atakti zubaan par,

jo roti thi mere zakhmon par,
un aanshuon par mujhe yakin tha,

par jab gine apne zakhm to,
wo tere aanshuon se jyada nikle,

main tere liye bas ek khilona tha,
jo tera dil bahalaye,

magar tujh se ab bhi yeh ho naa saka,
jo tere dil se mere liye koi aah nikle.

main darta hoon

chahat ki raah mein thokar khane se darta hoon,
haseen khawab ke bikhar jane se darta hoon,

mohabbat karta hoon unhe dil ki gehraiyon se,
zakhmon ke dil par ubhar jane se darta hoon,

bahut door hai wo dil ke kareeb rehne wale,
safar mein mausam ke badal jane se darta hoon,

jeewan ki bagiya mein ek phool khila jo,
kisi ki nazar lag jane se darta hoon..

yaad tu aati rahi barish ke baad

chain kyon jaata raha barish ke baad,
yaad tu aati rahi barish ke baad,

abhi to purani chotein bhi bhari na thi,
naye zakham khaate rahe barish ke baad,

woh aanshoo jo barson rok ker rakhe the,
be kabu behaata raha barish ke baad,

tu dekh ker bhi maze leyti rahi
mera dil jalaati rahi barish ke baad,

tu bhi iss pal mujhe yaad kerti hogi
yeh soch ker muskurata raha barish ke baad.


humne unhein aapni zindagi de di

mohabbat kar ke dekha hai,
toh mohabbat ko pehchana hai,

dil ka dard de gaye hain aisa,
aapke pyaar mein hum toot gaye,
moti jaise humare arman bikhar gaye,

aap ne kiya tha wada humein,
zindagi bhar saath nibhane ka,
par tannha chord gaye.

aapko chaha tha humne bahut,
aapko ab bhi hum chahate hain,
dilon ki ye kismat bhi toh dekho,
jo milna chaahu to bhi na mil paate hain.

aur unke pyaar mein,
aashuon mein saari khusiyaan bah gayi,
unhone humse judaai maangi,
aur humne unhein aapni zindagi de di..

ja tujhe chord diya

aye mere jhuthe hamnashi,
ja tujhe chord diya!

chahti thi tu akela rehna,
ja tujhse ab maine mukh mord liya!

haan har pal tere khush rehne ki duya karunga,
ye kabhi na sochna tujhse bewafai karunga,
tujhe chahta tha, chahti hoon aur chahta rahunga,
par apna na kabhi tujhe banaunga!

mana mujhse huyi hai galti,
par aisa kya maine kasoor kar diya,
ke tune humein ek pal mein ajnabee bana diya??

bahut khush hoon tera ye uphaar lekar,
shukriya ke tune meri mohabbat ka yehi sila diya,

ja tujhe chord diya,
ja chali ja….!!

haathon se ret ki tarah choot jaati hain khushiyaan

dhoondhta hoon to milti nahi hain khushiyaan,
zindagi mein khawab si lagti hain khushiyaan,

gum ne is kadar mujh par ghera daala hai,
koi bhi mausam ho, aati nahi hain khushiyaan,

tum daaman jo apna humse churdakar chale gaye,
bhatakta hoon dar badar, milti nahi hain khushiyaan,

koi hoga jo mere halaat se ittefahh rakhta hoga,
dekhta hoon to har taraf dikhti hain khushiyaan,

kya shikwa gila karein aye khuda zindagi se,
haathon se ret ki tarah choot jaati hain khushiyaan.

dubbe huye ko humne bithaaya tha

dubbe huye ko humne bithaaya tha, 
apni kashti me yaaro,

aur phir kashti ka bojh keh ker, 
humein hi uttar diya..

kaash ki tujhko ek jhalak dekhun

khwaab hai..  khwaab kab tak dekhun,
kaash tujh ko bhi ek jhalak dekhun,

jaane tu kis ka humsafer hoga,
mein tujhe apni jaan tak dekhun,

subha mein dekha hai to phir ek bar
sham ke ruksar hone tak dekhun. 

mera hokar bhi khudh ko gair ka batane wale

mera hokar bhi khudh ko gair ka batane wale, 
door kaise jaoge mujhse, yeh hath churdane wale, 

koi humdam naa milega tumhein humsa yahaan, 
hum to mitte shauk se, ab milenge mitane wale, 

kin baaton ka gunahgaar bana diya iss jaan ko, 
nafrat yun mili humein, juda huye manane wale,

humein nahi gham, na koi shikayat hai iss saza se, 
khuda jaane inmein kitne hai, hum din bitane wale,

par hai ek wada tujhse bhi aye sitamgar haseena, 
ashk girenge tumhare bhi, bhale ho dikhane wale, 

khush kaise rahegi tu gar tha tera saccha pyar,
tera dil bhi katega, mujh pe khanjar chalane wale.

I wish I could tell you

I wish I could tell you, 
how I felt when you are around,
if I only had enough words to express my feelings.


I wish I could tell you,
how I keep thinking about you forgetting the world around, 

if I only had enough words to express my thoughts.

I wish I could tell you, 

what you mean to me and the way I love you,
if I only had enough words to express my love.


I wish I could tell you,
that I am blessed in a special way

to feel the essence of your love,
if only you loved me, I would have told you.

intezaar

nazar chahati hai deedaar kerna,
dil chahata hai bas pyar kerna,

kya bataye iss dil ka aalam,
mere naseeb me kya likha hai 
sirf intezaar kerna?

aaj phir yaad tumhari aayi hai

aaj kayi din baad sitamgar yaad tumhari aayi hai,
soch raha hoon khuwab hai ya phir yaadon ki parchai hai,

jiske ghum se dil jalta hai, rooh bhi chhikhta hai mera,
koyi zara mujh ko bataye kaisi yeh shehnayi hai,

kaun hai yeh, kiya poch raha hai bhule bhatke longo se,
paagal hai, dewana hai, ya phir koi saudai hai,

zehar ghule hai jisme,  chubhe khanjar hai har ghaw mein,
yaaro meri qismat me ab aisi hi tanhayi hai

soch raha hun, dekh raha hun, pooch raha hoon kaun hai woh,
jiski surat yaroon meri aankhon mein lehrayi hai,

sach kehta hoon puch lo khud se aye mohabbat,
sirf tumhi badnaam nahi ho uski bhi ruswai hai..

sochta hoon mera humsafar kaun hoga

yun to meri barbadi se bekhabar kaun hoga,
haan iss khabar se aahat magar kaun hoga,

khali hain dil ke kamre, khali makan mera,
misaal-e-tanhaai mujhse behtar kaun hoga,

mere saare dushman mere yaar se mile hain,
ab aise mein kisse behtar kaun hoga,

saare jazbaat unke aankhon se zaahir hain,
kaun maayuus hoga, wafadaar kaun hoga,

raah-e-wafa-e-bewafa mein,
sochta hoon mera humsafar kaun hoga


yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga

yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga,
hum tumhari nazro se utar jaaye to accha hoga,

suna tha ishq se pighal jaata hai patthar bhi,
gehrayi mein dil ki doob jaata hai samundar bhi,

koi kami rahi hogi jaroor meri wafa mein shayad,
kyo nahi hua tumhein meri aanhho ka asar kabhi,

ho kar aaye hain jis tarah se ruswa tere ghar se hum,
bhulkar bhi ab na tere shehar jaaye to accha hoga,

yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga,
hum tumhari nazro se utar jaaye to accha hoga,

rote huye lamha dekha na kisi ne mujhe,
diye hain kaise kaise zakhm iss zindagi ne mujhe,

kisi aur se kya karu shikayat aur kyon kar karun,
jab na samjha mohabbat ke kabil tu hi ne mujhe,

koi khwaish nahi ab to bas itni aarz hai khuda se,
mohabbat teri dil mein liye mar jaaye to accha hoga,

yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga,
hum tumhari nazro se utar jaaye to accha hoga.

ctrl+alt+delete kar doonga

aisa bhi nahi hai ke
I don’t like your face.
par dil ke storage mein
no more disk space.

kal jab mile the
to dil mein huyi ek sound.
aur aaj mile to kehte hain
your file not found!

jo muddat se hota aaya hai,
woh repeat kar doonga,
tu naa mili to apni zindagi
ctrl+alt+delete kar doonga.

shayad mere pyar ko
taste karna bhool gaye,
dil se aisa cut kiya
ke paste karna bhool gaye.

laakhon honge nigaahe mein
kabhi mujhe bhi pick karo,
mere pyaar ke icon pe
kabhi to double-click karo.

roz subha hum karte hain
pyar se unhein good morning,
woh aise ghoor ke dekte hain
jaise ho errors aur 5 warning.

nazar mein to kayi hain
aur shaayad lonely hain,
problem yehi hai ki woh
ab read only hain.

woh zakham kaise bataye jo dhikte hi nahi

koi naraj hai humse ki hum kuch likhte nahi,
kaha se laye lafz jab woh milte hi nahi,
dard ki juban hoti to bata dete shayad,
woh zakham kaise bataye jo dhikte hi nahi.

dil lagaana ab apni fitrat mein nahi

raat bhar chalta raha teri talaash mein,
ret pe nishaan yeh bataate hain,

teri justzoo hi thi in nigaaho mein,
paaon ke chhale bhi yeh jataate hain,

har aahat pe tumhein dhundhta hoon,
hawaa ke rukh bhi murd jaate hain,

mere dil-e-betaab pe nazar daalo zara,
ashk gaalo pe nishaan chord jaate hain,

ek khaayi ho gayi hai gehri rishto ki,
na jaane gir ke kitne sambhal paate hain,

kuch arse se hum soye hi nahi,
tere khwaab bhi dil dukhaate hain,

tujhse dil lagaaya to jaana,
sapne palko talle bhi tut jaate hain,

le kar le roshan duniya apni,
ghar jalaaya hai, dil jalaate hain,

gham pee liya teri bewafaayi ka,
naam le k tera zakhm muskuraate hain.

dil lagaana ab apni fitrat mein nahi,
teri parchhayon se bhi muh chhupaate hain.

tum na yeh samagh lena

hum udas rahte hain,
tum na yeh samajh lena,
hum tum par hi marte hain,

yeh udas baate,
jo dil ko dard dete hain,

in udas lamoon mein,
anginat se aanshoo hain,
anginat se sapnay hain, 

kis ko main kahon sathi,
kaun hai .. jo apna hai,

raat ki khamoshi mein,
dard bardta jata hai,

ek chara aankhon mein,
jab utarta jata hai,

aankh ho ya dil apna, 
barish to hote hain,

barishon ke moosam mein,
log to bikharte hain,
tum na yeh samagh lena.

All Time's Favourite Posts