thak gaya hoon apne-aap se lardte hue

kisi ki yaad mein yeh aankhein kho jaati hai,
pal bhar mein rim-jhim barish ho jaati hai,

papi aankhon se aksar behte hain aanshu,
bahte aanshu dil ke daag bhi dho jaati hai,

unko dekhkar ehsas-e-tanhai jagati hai,
unki bebasi se sari khawaish dil ki so jaati hai,

chahtein meri tum samajhna nahi chahte,
yeh khayal aksar palkein bhigo jaati hai,

kash mere naseeb mein bhi kisi ka pyar hota,
yeh tannhai mujhe khud mein sama jaati hai,

thak gaya hoon apne-aap se lardte hue,
mere bebasi samandar-e-gham mein dubo jaati hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts