iss kalam ka kamaal to dekho

iss kalam ka kamaal to dekho,
isne jab mehboob ka naam likha,
mere dil ko aur bhi dhadkaya,
phir hal-e-dil paigaam likha,
mere dil ko baichain kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
nazron ne jo waar kiya,
aur jubaan se jo na bayaan ho paya,
woh saare jazbaat dil ke,
shayari mein dil ka har paigaam likha. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
likha bhi naam uska aur pyaar se usse sajaya bhi,
utar kaagaz par tasveer usse pass apne paya bhi,
dil ki iss bechaini ko khoob shayari mein bayan kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
juda huye jab woh humse,
saath isne mera nibhaya bhi
naam likha jab bewafa uska,
hazaar aanshu apne saath hamein rulaya bhi. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
kalam ke jariye aaj humne,
phir ek mukaam haasil kiya,
kho chuka tha jin lamhon ko,
phir kagaaz par aaj usse zinda kiya. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts