lamha-lamha beet gaya yeh saal

lamha-lamha beet gaya yeh saal,
dekho kaisa hai yeh kamaal. 

har jeewan hai, ek mumm,
har ek saans hai, ek sawaal. 

sab ka dard hai dil mein mere,
kaise rakhon mein apna khayaal. 

uljhan se do-chaar sabhi hain,
jeewan sab ka ek babaal. 

nafrat ka yeh zeher na pheley,
pehlay usko dil se nikaal. 

pyaar ka laava mere ander,
iska mere dil mein ubaal. 

be-soor mere geet hain ab,
jamti nahin hai koi taal. 

raaz macha hai toofaan dil mein,
main hi jaanu mera haal.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts