aye zindagi mujhe kyun itna aazmati hai

na jee paata hoon na hi maut aati hai.
aye zindagi mujhe kyun itna aazmati hai.

jalti har shaam aur bujhti huyi subah hai meri,
yeh matlabi duniya ab mujhe raas nahi aati hai.

na hi koi tamanna hai aur na koi aarzoo rahi,
iss jism mein ab ruh ko badi ghutan si hoti hai.

pardte rehte hain der tak ashq chehre ko mere,
ab jhuthi hansi ki baazi mujhse kheli nahi jaati hai.

aye maut banke mehbooba tu hi laga le gale se,
ki yeh zindagi ab mujhse sambhali nahi jaati hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts