jo aisa na ho to kya hoga

unke deedar pe bhi jo barsaat na huyi, to kya hoga,
lab khamosh par ankhon se baat na huyi, to kya hoga.

cham-chamate hue sitaare, khushnuma chaand,
rehmatein falak ki hamare saath na huyi, to kya hoga.

sandali saansein, makhmali farsh, narm hawayein,
aise mehekte phoolon ki saugaat na huyi, to kya hoga.

kalaayiyon ka thar-tharaana, palkon ka jhukana,
khwahishon se jo sharm ki maat na huyi, to kya hoga.

sab khwaab hain, sab hasratein hain, saare khayaal 
jo kabhi aisi haseen raat na huyi, to kya hoga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts