tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha

jahaan phoolon ko khilna tha, wahi khilte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha. 

koi aa kar humse puuche, tumhein kaise bhulaaya hai?
tumhaare khat ko ashkoon se, tapish-e-gham mein jalaaya hai. 

hazaaroon zakhm aaise hain agar silte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha. 

tumhein jitna bhulaaya hai, tumhaari yaad utni aai hai,
bahaar-e-sard jo aayi hai, wohi khushbu laati to acha tha.

tumhaare lab meri khaatir, jo hilte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha. 

mila hai lutf bhi humko hasiin yaadoon ki jhilmil mein,
katti hai zindagi tum bin, magar yeh malal dil mein reh hi gaya,

agar tum aate to acha tha, agar mujhse milte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts