na puchho kya kya woh kho kar utha hai

jo meri daastaan sunkar utha hai,
woh apna daman bhigo kar utha hai.

beeti raat ka usse abhi hishab na lo,
woh abhi jaga hai, soo kar utha hai.

abhi tum usko hansane ki koshishein na karo,
abhi chhupa hai woh, roo kar utha hai.

jo khelne baitha jua mohabbat ka,
na puchho kya kya, woh kho kar utha hai.

mere aane se chal pada jo chord kar mehfil,
woh mere dil ko chubho kar utha hai.

uska haal kuch behaal nazer aata hai,
phir koi dhokha woh kha kar utha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts