main bura tha magar itna nahi tha

zindagi se to koi shikwa nahi tha,
jeene ka bhi to bahana nahi tha. 

haal-e-dil jo mera sunke roo pade,
mujhe woh sach bhi batana nahi tha. 

main kyun na baith kar kosta apni kismat ko,
jo mera tha, woh ab apna nahi tha. 

dekh kar khud ko usmein rona lazmi tha mera,
woh aaina tha, koi sapna nahi tha. 

sunke barbadi meri mehfilein sajayi tumne,
main bura tha, magar itna nahi tha. 

ke jinke sath kat gaya tamam zindagi ka safar,
aakhiri mord par jana, unmein koi apna nahi tha.

kehte-kehte jaise kalam bhi roo pada,
woh haqeekat tha, mera afsana nahi tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts