kyun tannha jiya ja raha hoon main

zamaane ki riwayaton pe chal raha hoon main,
apni hi bandish mein kaid jee raha hoon main. 

dil ki chahat ko khul ke izhaar bhi nahin kar sakta,
aur kehta hoon beshak muskura raha hoon main. 

kambakth dil hi jhoota nikla,
sach ko pehchan ne se inkar jo kar raha hoon main. 

ab duniya se kya shikayat karni,
apne hi dil mein taaze ghav bana raha hoon main. 

apni bebasi pe hans rahi hai yeh duniya,
khudko jo tardpa raha hoon main. 

iss duniya ki tamannaon ko poore karne ke liye,
khudke aarzuon ko daffna raha hoon main. 

dil ne roke phir kaha,
kyun tannha jiya ja raha hoon main. 

zindagi ko jeene ka jazbah nahin,
maut ko gale laga raha hoon main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts