naa samah the kitne hum, jana humne jab aankh khuli

khwab to khwab hi tha, jana humne jab aankh khuli,
apne huye hain paraye, jana humne jab aankh khuli. 

paya tumhein karib to, samjhe kismat khuli
pana tumhein hai mushkil, jana humne jab aankh khuli. 

ro-ro ke kehte hain ki, maangkar bhi khushi naa mili,
gham bhi kya chiz hai, jana humne jab aankh khuli. 

samjhe tumhein saathi apna ki, zindagi ki kitaab khuli,
naa samah the kitne hum, jana humne jab aankh khuli.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts