khaali haath chala tha, aaj tak kuch nahi paaya

door tere jahaan se, main apni duniya basaane aaya,
khaali haath chala tha, aaj tak kuchh nahi paaya. 

mushkilon ka safar kabhi rukta hi nahi,
tufaano ka saamna karna, waqt ne bas yehi sikhaya. 

tannha baithta hoon jab, aur tannha paata hoon,
itne baras beet gaye, koi bhi nahi aaya. 

khawaab the mere, kuch sehra pe khade makaanon ki tarah,
aanshu mein doobh gaye, behna inko nahi aaya. 

door tere jahaan se, main apni duniya basaane aaya,
khaali haath chala tha, aaj tak kuch nahi paaya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts