intehaan woh mere sabr ka ab kya lenge

woh yahaan aayenge, yeh dil ko batta rakha hai,
marte-marte bhi inn aankhon ko khula rakha hai, 

intehaan woh mere sabr ka ab kya lenge,
unse paaya hua zakhm, aaj bhi hara rakha hai. 

bewafaa woh thi, hum the, ki zamaane waale,
chordiye yeh sab, ab inn baaton mein kya rakha hai. 

unko aaya hi nahi meri mohabbat ka yakeen,
kab se yeh haath inki aur bardha rakha hai. 

har ghazal sunke meri, unko aisa laga,
jaise har sher unko pehle hi sunaa rakhaa hai. 

dil ki ghaati mein dabey panv utar jaati hain,
unki aankhon ne deewaana bana rakha hai. 

mere baad aur bhi aa jaayenge likhna waale,
maine auron ko bhi yeh afsaana suna rakha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts